Thodi der baad wo teeno ek hi table pe baithe khana kha rahe the.
"Waise bajjo mein soch rahi thi baba sahi keh rahe the muddahat ke papa ke baare mein." Wo kaante ke sath salad ka tukda muh mein rakhti boli thi.
"Kya kehte hain baba?" Usne muskura ke pucha tha. (Safeer ki zara si fikr pe uski muskurahat wapas aa chuki thi)
"Yahi ke ye saara Paisa drugs ki supply se aaya hai." Meher ko paani peete achu laga tha.
"Khuda ka khauf karo ladki. Hum unki beti ki shadi mein aaye hue hain. Kisi ne sun liya toh kya hoga?" Meher ne goya uski aqal pe maatam kiya tha.
"Na toh unko ye sab pehle sochna chahiye tha na. Banda aise kaam hi na kare ke kisi ke sunne ka khauf ho." Us pe jaise koi asar hi nahi hua tha. Safeer muskura ke uski saari baatein sun raha tha. Wo safeer katra rahi thi lekin is pe kuchh bhi zaahir nahi hone dena chahti thi. Wo muskurahat dabaye uski saari kaarwai dekh raha tha.
"Tum ye sab kaise keh sakti ho halay. Koi thos saboot hai tumhare pass?" Safeer ke direct usko muqatib karne pe wo zara gad badayi thi lekin agle hi second khud ko compose kar liya tha.
"Catering se lekar decoration tak
Dressing se lekar jwellery tak. Har cheez pe pani ki tarah paisa bahaya gaya hai. Muddahat ke walid ek college mein principal hain. Zyada se zyada kitni pay hogi? Teen lakh? Chaar lakh? Ya Paanch lakh? Chay lakh ka toh kal muddahat ne lehenga pehna tha. Chalo agar usse zyada bhi hui tab bhi unki tanqua mein ye sab hona na mumkin hai. Side business unka koi hai nahi aur bete bhi dono bhi padh rahe hain. Paisa aaya kahan se?" Wo mukammal jasoos bani puch rahi thi. Safeer ne ab baqaida taali baja ke usko shabashi di thi."Bhai kamaal hai cousin tum toh jasoos nikli. Pakki wali. Kya ye English padh ke khud ko zaya kar rahi ho yaar. Tumhein toh force join karni chahiye."
"Hai na. Meri bhi yahi wish hai lekin ammi jute marengi." Usne aakhir mein jis andaaz se kaha tha safeer apna qehqaha rok nahi paa raha tha.
"Halay abhi agar tumhare muh se ek lafz bhi nikla na meine yahin juta utaar lena hai." Mehrmah taish se boli thi.
"Acha bhai chup hun." Wo jal ke boli thi.
"Waise ye Haroon kyun nahi aaya?" Usne baat palat di thi.
"Uski tabiyat nahi theek thi." Meher ne jawab diya tha.
"Sab set kar dungi uski tabiyat mein. Subha hone dein zara. Kar le aaram use jitna karna hai. Uski itni himmat mujhe batana bhi gawara nahi kiya, dekh lungi usko." Wo jalte hue bol rahi thi.
"Tum ne toh kaha tha ke red aur off-white ki theme hai ladkiyon ki. Lekin yahan toh sab ne silver aur red pehna hai." Safeer zara jaise yaad aane pe pucha tha.
"Wo asal mein mujhe colours ke baare mein zyada pata nahi hai." Halay kaan khujati sharminda si boli thi. Abhi safeer koi jawab deta ke usko dada ki call mausool hui thi. Agle do minute tak wo dada se baat karta raha aur jaise hi call khatam hui. Usne halay aur Meher ko uthne ka kaha tha.
"Dada jaan ne kaha hai ab bas Ghar pohoncho. Unse apne pota aur poti ki judai bardaasht nahi ho rahi hai." Safeer muskurate hue bata raha tha. Jab usne mehrmah ke chehre ko tareek hote dekha. Halay ne bhi meher ki taraf dekha tha aur ab un dono ko surate haal ki sangeeni ka ehsas hua tha. Safeer jee bhar ke Sharminda hua tha.
"Unhone ye bhi kaha hai ke unko apni nawasi bhi yaad aa rahi hai." Usne apne hisaab se baat sambhalne ki koshish ki thi lekin mehrmah ke chehre ki Zakhmi muskurahat usko mazeed guilt mein mubtila kar gayi thi.
"Jaise mein jaanti nahi hun unko hai na? Mein car mein intezaar kar rahi hun. Aap dono aa jao." Wo usi Zakhmi muskurahat se kehti logon ke darmyan raasta banati tez tez chalti khariji darwaze ki jaanib badh gayi thi.
"Dada ko aisa nahi karna chahiye." Halay afsos se boli thi.
"Kabhi kabhi wo bohot rude ho jaate hain meher ke saath. Ye zyadati hai. Unko aisa nahi karna chahiye. Jo kuch hua us mein meher ka qasoor nahi tha. Usko kis gunah ki saza de rahe hain dada jaan?" Safeer bebasi se bola tha.
Aisa nahi tha ke usne dada jaan se is baare mein baat nahi ki thi, wo kaafi baar is baare mein baat kar chuka tha lekin dada jaan ka rawaiya behtar hone ke bajaye aur kharab ho gaya tha. Aisa nahi tha ke wo meher ko jhidakte the ya us pe gussa hote. Wo usko muqatib hi nahi karte the. Wo agar khana laati toh wo chup chap kha lete lekin agar wahi khana halay le jaati toh dada uske sath ghanton baatein karte, us khane ko discuss karte. Wo unko dawa deti toh sau nakhre karte lekin jab bhi meher ye sab kaam karti toh wo aise chup chap baithe rehte goya kisi ne unse quwwat goyai cheen li ho. Safeer ke baat karne se ye hua tha ke ab unhone meher ka laaya hua khana khana chod diya tha. Uski laayi hui chai pade pade thandi ho jaati. Uski di hui dawa wo kachra daan ki nazar kar dete. Mehrmah chup chap ye sab seh rahi thi. Usne kabhi kisi se shikayat tak nahi ki thi lekin wo ye bhi jaanti thi sab log uske saath Yusuf sultan ka ye sulook dekh kar bura lagne ke bawajood kuch kar nahi sakte the.
Wo teeno gaadi mein aa ke baithe the. Halay pichli seat pe thi jab ke meher safeer ke saath aage baithi thi. Gair mamuli Khamoshi se safar kat Raha tha jab meher ke kaano mein safeer ki awaaz aayi thi.
"Meher yaar ab tum udaas toh mat ho na. Mein karunga dada jaan se baat wo theek ho jayenge. Tum tense mat ho wo budhe ho gaye hain. Yaad nahi raha hoga ke tum bhi hamare saath ho." Wo usko tasalli de raha tha.
"Meri maujoodgi ko toh wo itne saalon se bhule hue hain jab se mein paida hui hun." Wo khidki se bahar sadak pe daudti hui gaadiyon ko dekhti dukh se bol rahi thi. Wo shayad hurt Hui thi bohot zyada hurt.
"Mein aaj hi dada se baat karunga." Safeer ne yakeen dihani karayi thi.
"Pehli baar jab aapne baat ki thi tab abba ne mera laya hua khana khana chod diya tha. Dusri baar jab aapne baat ki thi tab unhone mere haath ki chai peeni chod di thi. Teesri baar jab aapne baat ki thi tab unhone mere haath se dawai leke dustbin mein phenk di thi. Chauthi baar jab aapne baat ki thi tab unhone meri taraf dekhna chod diya tha." Wo hanooz bahar dekhte hue bol rahi thi. Uski awaaz itni halki thi jaise khud se baat kar rahi ho lekin uska lehja haan uska lehja us mein kuch aisa tha ke halay ne beiqtyaar karb se aankhein meech li thien.
"Khuda ke liye ab baat mat kariyega. Is baar shayad wo mujhe "sultan manzil" se hi na nikal dein. Mujh se ye aakhri cheez mat cheenein please." Usne safeer ki taraf dekh ke kehte hue bamushkil khud ko rone se baaz rakha hua tha.
"Meher tum toh bohot strong ho yaar. Is tarah mat bolo mujhe dukh ho raha hai. Mein tumhein aise nahi dekh sakta." Safeer uski aankhon mein dekhta bebasi se bola tha.
"Ye duniya strong logon ka itna imtehaan kyun leti hain, safeer? Wo ye Kyun nahi samajhti ke hum bhi toh insaan hain. Hamare seene mein bhi dil hai. Pata hai kabhi kabhi mein sochti hun ammi ko akele nahi marna chahiye tha. Unko chahiye tha ke wo us sadak pe mujhe bhi saath leke martin ya phir jab unki talaaq hui thi na tab Mera gala ghont detin. Broken family ke har Bache ko mar jaana chahiye, hai na?" Uske halaq mein aansuon ka ek gola sa atka tha. Wo zara der ko ruki thi. Sawaliya nazron se safeer ko dekhti rahi. Shayad apne sawal ka jawab chahti thi aur chand lamhe baad phir se bolna shuru ho chuki thi.
"Jan do logon ke darmyan talaq ho na unko chahiye apne bachon ke gale ghont diya karein. Unko chauk pe phansi de dein, unko goli maar dein magar unko is tarah zamane ki thokarein khane ke liye na chodein." Uski awaaz nam thi. Wo jaise bohot takleef se bol pa rahi thi.
"Meher hum sab hai na hum sab tum se pyaar karte hain tum meri behtareen dost ho badi ammi ki jaan basti hai tum mein. Meri ammi tumhein itna chahti hain taaya abba, dad kya wo sab kuch bhi nahi?" Safeer ne jaise usko behlana chaha tha lekin wo nahi sun rahi thi.
"Pata hai kabhi kabhi mujhe lagta hai kaash mein bhi halay ki tarah ammi pe chali jaati. Halay toh ammi ki beti nahi hai lekin abba phir bhi halay mein unko dekhte hain. Agar mein bhi ammi ki tarah dikhti tab shayad wo mujhse bhi pyar karte. Lekin shakal se toh kuch nahi hota na safeer? Rishte toh khoon ke hote hain. Mein unka khoon toh hun na? Kya unka khoon kabhi josh nahi maarta? Kya mere wajood se ammi ki khushbu nahi aati unko? Kabhi toh mujhe bhi gale se laga ke dekhein mere sar pe bhi haath rakh dein. Ammi toh unki mehboob aulad thien na. Mein unka hi khoon hun, unki hi beti hun kyun nahi maante wo ye baat?" Bolte bolte wo shayad thak chuki thi tabhi aankhein mond li thien. Sar seat ki pusht pe gira diya aur aahista se bad badayi thi.
"Ammi ko chahiye tha mujhe saath leke martin."
*************
YOU ARE READING
Bakht (Mehrulnisa Shahmeer)
RomansaBakht is an urdu novel written by Mehrulnisa Shahmeer.