Chapter 6 - Present Love

467 24 3
                                    

Present(4 years later)...

***Randhir***

It's the same time when Sanyukta and Randhir are enjoying the rain. When Randhir was lost in his thoughts, Vivaan arrives and finds him smiling.

V: acha dost hai tu. Yahaan meri band baji hui hai aur tu baarish k saath romance kar raha hai.
R: tujhe band nahi bajani thi. Usne apni band bajwane k chakkar me teri band bajwa di. Ab us band na bajne dene k liye teri pass sirf kal tak ka time hai. Tab tak mujhe practice karne de. Kal mujhe meri Sanyu k saath dance karna hai.

In this span of 4 years, Vivaan was appointed as a tax assistant in income tax office. Randhir started his business after persuing MBA.

3 days earlier....

It was a finite day when Vivaan was busy at his office. When was totally merged in his work, his phone buzzed "yeh.. Yeh.. Ye karke dikhao...". He picked the call, stuck the cell at his left shoulder and again continued his task.

V: haan Dristi bolo.
D: how are you baby?
V: main busy hun tumse baad me baat karta hun.
D: din raat sirf kaam hi karoge kya? Kuch apne dost se sikho. Bechara adhi raat ko bhi apni dream girl k photo ghurta rehta hai.
V: haan kyunki wo dream me hai na. Meri life ka tufaan to har waqt mere gate pe hi rehta hai.

Yes, finally Dristi convinced Vivaan to be her boyfriend. It happened when Dristi asked Vivaan for help in her studies. After a lot of attitude, he agreed and Dristi, using her attractive looks, managed to admit him his love for her.

D: main kuch nahi aj to decide karna hi hai aar ya paar.
V: yaar ladne ka bilkul mood nahi hai mera. Bola to tumse ki agle hafte milne aaunga.
D: milna my foot. Ye batao ki shaadi kab karoge.
V: yaar shaadi ki kya jaldi hai. Wo to baad me bhi ho jaayegi par mere kaam me gadbad hui to government dhakke maar k bhaga degi mujhe.
D: acha? Mere saath romantic gaane gaate time kahan gaya tha tumhara ye kaam? Main kuch nahi jaanti, agar aj k aj tumne apne mom dad se baat nahi ki to main tumhare ghar aa jaungi.
V: jo karna hai karo bas abhi mere dimaag ka bhosda mat banao.
D: thik hai. Abhi dekhna kya karti hun main.

She blurted and held the phone with a thud. Time rolled and at evening, Vivaan returned home. Everything was normal till he got fresh n up. As he reached to drawing room to chill, his father Nirmal poked a chain questions.

N: aur beta aage ka kya plan hai?
V: kuch nahi papa. Agle saal promotion ho jaayega aur salary ki increment one-third more. Fir ghar ki remodelling karenge.
N: aur personal life k baare me kya socha hai?
V: ap hi to ho meri peri personal life.
Laxmi(Vivaan's mother): ye tumhari shaadi ki baat kar rahe hein. Dekho beta tumhe life me jo chahiye tha tumne achieve kar liya. Ab settle ho jao. Dekho main kitni saari ladkiyon ki photos laayi hun.
V(in mind): ye aj har koi mujhe kuen me dhakelne k mood me kyun hai?
V: maa mujhe shaadi nai karni.
L: kyun? Haaye kahin koi waisi waali problem to nahi hai. Suna hai aj kal common hai.
V: are aisa nahi hai maa.
L: fir inme se koi ek pasand kar le na beta. Meri tasalli k liye.
V: main inme se choose nahi kar sakta. (He roared facing back)
L: kyun koi aur pasand hai kya?
V: haan (he blurted)

"Fir problem kya hai?", a voice came from his back. He was taken aback to find Dristi infront of him.

V: oh to ye tumhara kaam hai.

---Flashback---

Dristi held the phone and smirked. "Just wait & watch Vivaan sharma. Dekhti hun kaise manaa karte ho tum shaadi k liye", she heaved out and left for his home. As she reached there, she started her drama. Vihaan's mother opened the door for her and she touched her feet. She popped up crying badly.

D: aunty ji kya main sundar nahi hun?
L: nahi bache. Ap to bahut pyare ho.
D: apko inter-caste marriage se koi problem hai?
L: ye sab to purani baatein hein.
D: to fir apna beta mere saath itna rude kyun behave karta hai?
L: beta wo shuru se hi aisa hai.
D: aur jhuta bhi hai. Mere saath date pe gayaa, gaana gaaya, intense scenes kiya aur jab bhi shaadi ki baat ki bhaag gayaa. Ab ap hi batao main kya karun. Meri intense aankhon ka asar bhi nahi hua uspe. Mere diamond jaise dil ko tod k chala gaya. (She sobbed on hwr shoulder hiding her face)
L: tum tension mat lo bache. Main dekhti hun kaise nahi karta wo shaadi.

---Flashback Ends---

D: isme meri koi galti nahi hai haan. Jab tak tumhari body me current na flow ho tab tak maante kahan ho tum.
V: bas karo Dristi. Har baat mazak nahi hoti hai. (He shouted in his anger)
N: yahaan koi mazak nahi kar raha Vivaan. Tamiz se baat karo.
V: papa ap ise nahi jaante. Iska adha dimaag iske zabaan pe hai aur adha ghutne me. Kabhi bhi kisi bhi baat pe serious nahi hai.
N: ye sab jaante hue bhi tumne usse pyar kiya tha na.
L: bolo Vivaan nahi pyar karte tum isse?
V: haan karta hun par...
D: par kya? Main tumhare laayak nahi ye kehna chahte ho na?
L: bache tum ye kya keh rahi ho?
D: nahi aunty ji. (Her eyes teary) Ise yahi problem hai na ki main kisi baat pe serious nahi hun. Bolo Vivaan yahi baat hai na? Bolo...
V: haan yahi baat hai. Khush?
D: thik hai. I promise aj k baad dobara tumhe meri shakal nahi dekhni padegi.
V: prchh... Dristi meri baat suno. Dristi...

He called her few more time but she had already left carrying those wet pearl in her eyes.

N: itni pyari bachi ka dil dukha diya.
L: aur kya khud kisi laayak nahi hai aur use nalayak bol raha hai.
N: sun Vivaan agar usne apnesaath kuch galat kiya na, kal newspaper me teri chhap jaayegi samjha.
L: aur teri shhadi hogi to isi se warna baithe rehna kunwara. Huh...

Both busted on him and left. The night passed and as soon as he woke up, he asked Randhir to meet him, to which he agreed. After two hours, he reached Randhir's house.

R: kya hua bhai? Mera itna expensive time kyun waste kar raha hai?
V: kyun Sanyukta ki photo dekhne me der ho rahi hai kya?
R: bhai tu hyper kyun raha hai? Bilkul Agnipath ka Amitabh lag raha hai.
V: yaar main serious hun aur tu fir filmi baat kar raha hai.
R: abe oye pichhle adhe ghante se teri ye sadi hui anguro waali shakal dekh dekh k main bilkul k3g waala SRK ban gaya hun. Bolega bhi kya hua?
V: yaar wo aayi thi kal, teri mu boli behen.
R: haan to? Milte to ho dono bar bar. Bas ek meri hi kismat futi hai. Pichhle char saal se chori chhupe hi dekhta hoon main meri Sanyu ko.
V: yaar wo mere ghar aayi thi, maa papa se milne.
R: kya!
V: haan aur khud to naraaz hui, maa papa ko bhi gussa dila k gayi. Un dono ko wo bahut pasand hai aur jab maine mana kiya shaadi k liye to sab mujhse gussa hein.
R: par kyun mana kiya tune? Kya pichha chhudana hai kya?
V: are nahi yaar. Shaadi k baare me socha nahi maine.
R: to kab sochega? (Meanwhile his phone rang) Tu sochta reh main do minute me aaya.

After attending the call, he returned.

R: soch raha hai? Sochta reh. Ab koi faayda nahi hai sochne ka.
V: kya matlab?
R: matlab ye ki meri pyaari behen ne abhi abhi mujhe invite kiya hai apni engagement pe jo ki thik 3 din baad hai.
V: kya bakwaas kar raha hai?
R: you don't trust me? Khud puchh le. Ek kaam karta hun use bolta hun tujhe ladke ki pictures MMS kare.
V: saale tere jaise dost ho na to dushman kam pad jaayen.
R: saala mat bol yaar. Wo to tu hone nahi dena chahta. Teen din hein tere pass mujhe saala banane k liye. I mean Dristi ki shaadi rokne k liye. Main chalta hun dance practice karne. Itne saalon baad aamne saamne dekhunga meri Sanyu ko aur romance karunga bilkul SRK style me.

Present...

V: are koi idea de na mere bhai.
R: practice kar.
V: matlab?
R: matlab agar ladki chahiye to jaisa main kehta hoon waisa kar warna main kisi aur ka saala ban jaunga.
V: thik hai mere baap. Jaisa bolega waisa karunga. Ab andar aaja. Bimaar padega.
R: aachhin...
V: start ho gayi. Aa saale.
R: pehle mehnat SRK ban fir saala.
V: are abhi to haan bola.
R: good.

***Sanyukta***

She is smiling recalling her friend, Randhir and at the same time her phone rings flashing Drishti.

S: haan bol meri filmy doll.
D: kya baat hai. Koi bahat khus hai. Koi aa raha hai kal, isliye na.
S: of course friend hai mera.
D: for God shake Sanyu. Char saal ho gaye. Apni feelings to thoda to aage leke jaa. Wo hai ki tere baare me sochte hi SRK ban jaata hai aur tu hai friend friend kiye jaa rahi hai.
S: yaar har bar ka yahi lafda hai tera. Kuch hota to wo bolta na. Mile nahi hein hum par contact number to hai mera uske pass. Yaad karta to phone kiya hota na ek bar.
D: haan aur tu pyar se use lal kar deti. Kiss se nahi kick se.
S: ye sab chhod. Excited hai na tu?
D: bhains ki aankh. Excited kya khak houngi. Itna dar lag raha hai.
S: tune use tang kar rahi hai ya khud ko daraa rahi hai?
D: yaar pehli bar ye sab kar rahi hoon main, nervousness to hongi na.
S: oye shaadi ek hi bar hoti hai aur ye sab nakhre tere bechara Vivaan hi jhel sakta hai aur koi nahi. Agar ye shaadi ho gayi na, tujhe to tera husband theatre bhej dega drama karne k liye.
D: tujhe mujhe confidence dena chahiye aur tu hai ki daraa rahi hai.
S: dekh ye saraa kiya karaya tera hai. Tu khud nipat. Main chali sone.(she hangs the phone)
D: hey bhagwaan. Duniya bhar k khadoos meri hi kismat me kyun likhe hein apne? Agghhhh...

Next day Vivaan falls at Dristi's house to console her anger. When he reaches there, he finds everyone busy in decoration. He carries a flower basket, hides his face from it and makes his way to her room. Somehow, he reaches there. When he peeps into the room, Kriti is busy in selecting her jewellary. He whispers her name which was inaudible to her. At last he hails her loud.

D: tum? Tut...tum yahaan kya kar rahe ho? Jao yahaan se koi dekh lega.
V: Dristi please ek bar meri baat sun lo.
D: jitna sunana tha suna liya. Ab jao yahaan se.
V: please Dristi I love you.
D: and I hate you.
V: please ek chance de do mujhe. Main tumse shaadi karna chahta hun.
D: kyun? Main to tumhare laayak nahi.
V: are wo maine gusse me bol diya. I'm sorry.
D: what? Mujhe sunaai nahi diya.
V: I'm sorry yaar. Maaf kardo mujhe.
D: kar dungi. Agar tum sabke saamne maafi maango to. Itna hi nahi apna pyar bhi confess karna padega. Warna tum jaante ho jya hoga. (She smirks)
V: par...
D: chance khatam. Ab jo karna sham ko karna. Ab jao aur door band kar k jaana. (She says sternly)

To Be Continued.....

Banke MusibatWhere stories live. Discover now