Ki unhone mujhe apni baaho me bhar liya mujhe girne se bacha liya aur mai unki aankho me kho gai...... Jese koi filmy scene ho mai jab tk khud ko sambhal paati unhone meri help krte hue badi bhari si awaz me kaha dhyan se chala kro abhi lag jati mai na hota to. Mera mind unki baatein sun kab raha tha mai to bs unhe dekhne me hi busy thi. Koi mere budhu se man ko smjhaye ki wo sirf baat kr rhe h izhar nhi jo itna betab ho rhi h. Kuch der baad unhone kaha ab mai chlta hu, mai unko kese roku, kese smjhau ki mai nhi chahti wo mujhse dur jaaye, mujhme bhi kaha itni himmat thi ki mai unhe rok paau. Wo raat badi mushkil se guzri meri, puri raat sardarji ka chehra meri nazro ke samne ghumta rha aur dekhte hi dekhte subah ho gai.
Ab adhuri neend ke saath agle din office pahuchi mai, kaam krne ka man to tha nhi desk pe baithte saath neend aane lagi. Post lunch to esa lag rha tha ki wahi so jaau kahi kona dekhke jese hi jhapki lgne ko thi sardarji fir samne khade ho gye aake ab unhe dekhke sona to dur palke bhi nhi jhapakti meri toh. Bade gusse me pucha unhone kyu neend aa rhi h tumhe ya tabiyat kharab h, isse pehle me smjh paati kya bahana marna h unhone kaha kaam pr dhyan do important client h aur kaam urgent aram krne ka time nhi h. Ab unki daat khane ke baad majal h mujhe neend aai ho raat ke 9 baj gye aaj to office me pura office khali ho chuka tha ek to thakan dusra kaam teesra watchman aur mere alawa sirf ek cabin ki light jal rhi thi. Maine jese hi work mail kiya bag uthaya cabin ki light off hui aur achanak sardar ji mere samne aa khade hue.
Dari hui ghabrai hui mai smjh nhi paa rhi thi esi kya glti ho gai ki ye firse datne aa gai, pr iss baar unhone daata nhi sorry bola and firse puch may I drop you ma'am? Ab to maine man bna liya ki inke saath ghar to nhi jaungi warna phir nhi so paungi. Mere mna krte hi unhe bura lga aur unhone firse kaha, "I am sorry madam boss ka order tha isiliye bolna pada don't feel bad itni raat gye mai tumhe akela ghar to nhi jane dunga. Mere pass koi pending work nhi tha mai sirf tumhare liye ruka tha. So please may I drop you." Yrr ab mai unhe kese smjhau ki mujhe bura nhi lga mai to bs apni raat ki neend bacha rhi thi. Ab iss pr maine socha inka dil nhi todte h ek baar aur inki baat maan lete h aur firse wohi khubsurat raat aur khubsurat safar ka maja lete ghar pahunchi. Pichli raat ki tarah unne rukne ki zid nhi ki, pehle mujhe bura lga pr female ego ne mujhe allow nhi kiya ki mai unko rok lu.
Ab yrr smjh nhi aa rha tha ye kya h kya ye sirf feeling h ya ye sachme pyar h, kya sardar ji bhi attracted feel krte hai ya mai hi galat smjh baithi hu.

YOU ARE READING
Whispers At Midnight
RomanceTwo souls connected but not admitted Two way love but none confessed