Aas O Deed

172 4 4
                                    

Diwaana hu so baat diwaano si karta hoon,
Sharma kya, itraana kya;

Usay lagaa dikhawa, lagaa fareb toh samjhey,
Dil ka thehar jaana kya;

Ankh khullney se mich jaaney tak khyaal uskay,
Khaak-basar ho jaana kya;

Tere shehar mein aaye thay sapne tamaam lekar,
Takmil raahguzar e yaar mein mill jaana kya;

Deed e rozana ka hua yeh hashr,
Ta-ba-tah mujhay mein samaana kya;

Ab khud se aaney lagee hai bu teri,
Sharaab aur itr mein bhi doob jaana kya;

Zambil mein tasveer tere liyay firrtay hain,
Afsurdgi ke mareez'on ka Sohal,
Ghar kahan, thikaana kya;

Aas O DeedWhere stories live. Discover now