~ Ustaad Ji ~
(by Hassan Nasir)
Aksar auqat log mere moo se 'Ustaad Ji' ka zikr suna karte they, "Ustaad Ji ne yeh kaha, Ustaad ji kaha karte they, Ustaad Ji yeh, Ustaad Ji Woh.." magar wo Ustaad Ji ki shakhsiat se waaqif nahi they. Kuch mere jaan'ne waalon mey aise bhe loag they jo Ustaad Ji k maqoolon se is qadar mutaasir they k mujhe aa k apna masla bayaan karte or kehte Ustaad Ji se kuch raaye le di jiye. Meyn unki is masumiat per muskra deta or saath he tasali deta k Ustaad Ji zarur koi na koi behter raah dikhlayen gay...
Kisi zamaney mey meri soch aazaad or meyn khud mukhtaar hua karta tha. Ye wo daur tha jab humarey darmiyan rafaqaton ka mausam nahi aaya tha. Tumharey aatey he wo aazaadi khatam ho gayi. Meri har soch, har faisla, tumse munsalik ho gaya. Mera har qadam tumhari pasand o napasand k taabey ho gaya ... Phir wo daur aaya, jab khizaan mey darakhton ko chorr jaanay walay paton ki tarah tum mujh se aleyhda ho gayi. Meri zaat un tamam banjar darakhton ki veerani apne andar sameytey, akeli reh gayi. Kuch waqt ek taveel arsa ban gaya, lamhey sadiyon pe muheet ho gaye, or meyn ek umr raseeda soch ka maalik ban gaya...
Ik arsa beeta, meri munjamid hasti ko ik SOCH ne jhinjhora, or meyn udaasi k khoal (cover) ko torr k bahir nikla. Tumhari sikhayi hui baateyn jahaan taqleef deh thien, wahien unka ek behter pehlu bhe dikhayi diya. Jo kuch bhe tumhare se seekha tha, uska ulat kia...aaj meri zindagi mey koi pareshani nahi hay, bus sakun he sakun hay. Wo jo ek patta kho gaya tha, aaj uski jagah hazaron pattey mere sang maujud hayn, meri soch phir se azaad hay or meyn khizaan k mausam ko khair baad keh k hamesha ki bahaar mey zindagi basar kar raha hun.
... Ustaad Ji ne mujhe meri zaat ki khaamiyon tak rasayi di thi, unho ne mujhe meri achi or buri adaat se shanaas karwaya tha. Unhi ki baaton se sabaq le kar meyn behtri ki raah pe gaamzan hua tha. wo Ustaad Ji koi or nahi TUM ho. Jo tum se sabaq haasil hua, usey logon tak Ustaad Ji k naam se pohncha deta hun. Tumhara shukriya, mere 'Ustaad Ji'.