Only for Urdu Readers ,Mere Bohat se Urdu Parhne wale doston ka Khaas Shukar Guzaar hoon , Jinhon ne meri Urdu me likhi Kitaabon ko na sirf parhaa balke Meri Likhatt ko Saraaha bhi , un Sabhi doston ki guzarish par mene Mazeed Urdu zubaan mein likhne ka faislaa kiyaa or ye khaas mere Urdu Zubaan parhne or likhne wale doston k Liye likhi gayi Hai
Ek Din ka Manzarr apne Likhat ki Kabiliyat k Zariye Paish kar raha hun
Ye Likhat 2 Saal Purane din
26 March 2014 ki hai ..."
Aaj Baarish hui , Naa janay kitno dino kay baad , baarish ki harr boondh Zindagi me ek suroor sa Jaga deti ...Subha college Jatay waqt jo mene kuch Is Rangeen Dunyaa ki Adaayein or Nematein hasil ki yaa Khuda ki mujh pe jo Rehmat barsi wo batane Laga hun .,
Baarish choon kay raat 2 baje se ho rhi thi or bharpoor ho rhi thi k Sadkon pe Samandar ki lehron ka samaa thaa ,
Or us sadak Kinaray Paani mein 1 Jodi Kabootar ka lutf andoz honaa or Paani me Khud ko bhigaanay ka manzarr dekhne se talluq rakhta thaa ,
Agay Jaa k ek intizaari jaga pr khade ho kay ek Laal khubsurat Gaadi ka ishaara denaa or wiper k zarye Pani hatana bhi kuch khaas numaya ho rha tha ,
Kehtay hain Subhaa Ki Pehli Kirnein Rehmatt laati hain , lekin Bin Kirnon k Rehmat Barasnaa us Subh ki Kabil e Tareef Kala'a thiAgay raste me kuch khatranaak gaadiyon kay Hadsaati manazir bhi dikhe lekin khuda ki qudrat kisi or hi cheez ki taraf mutawajja krre jaa rhi thi ,
Youn to is khubsurat sheharr mein gul roz hi dikhte hain lekin Baarish k paani un Kalliyon pe padd karr us gul ko khoob se khoob tarr bana denaa Kisi Bhi Kaafir ko Haal e Sujood par Majboor Kar deti , Un Geelay Gulon ka Nazaara jis ko dekhne wala lutf andoz hi naa hota balke Khuda k hone pe Kamil Imaan le aata ,
Youn hi Chalte Chalte , jab Zameen pe nazar padi to Choontiyon ka ek jhund apni jaan bachate hue or apne Shaam k khanay ka intizaam bhi krta hua nazar aaya , jis ki Bareeki dekh k Mutahid Makhlooq ka Sabaq milaa ,
Phr wapsi mein Jab ghar aatay hue keechadd mein Paoun pada to saare din ka maza or yaad abhi tk Joote se mehsoos hoti nazar aati hai ,
Ye tha aaj ki barish ka samaa ,Dated
26 march 2014Next Parts will be updated each sunday !
Stay tuned for The New Chapter of Life (each Sunday)
Please Like vote and comment
Feedbacks required !!
YOU ARE READING
Little Things
RandomNote : This book is for Urdu readers About this book : "We see different World everyday , but we don't focus on what makes it different ! I tried to look at the World differently on each day And dissolved it in my writings ! This Book is not a...