Insaan Ek Jaanwar

51 3 2
                                    



Note : This Story is only for Urdu Readers , 

This Story is inspired by true Life events







Tick Tick Tick ....Ghadi ki awaaz aa rahi hai ...mere Kamray k Parde se Sooraj ki shuaayein bhi namoodar hoti nazaar aa rhi hain...Thori hi Dair mein Alarm ki awaaz aana shuru hui ..

Yeh bhi Aaj kal ajeeb Ma'amla hai , Alarm k Bajne se pehlay hi Neend khul jaya karti hai ...Garmiyon ka Mausam hai , Subha k 7 Baj rahe hain.. Waqt hua Jaata hai k Uth k Muu Hath dho kar nashta Paani kiya jaaye , Lekin us se Pehlay ek or Kaam tha  jo Mujhe Apni Ghizaa se Zyada Azeez tha ... 

Subha uthte hi Nihaar muu apne ghar ki Balcony ki taraf chal deta hun , Balcony ka darwaaza Kholte hi Charind Parind ki Chayen Chayen Awaazein Kaan mein Padti hain ...Shayad wo Roz mera hi Intizaar Karte hain ..Darasall Balcony me mene ek puraana Mitti ka Bartan Rakha hua hai ..Jisme Roz subh mein in Parindon k Liye Daana Paani ka intizaam karta hun .... ye Amall mujhe sab se Azeez hai ..Kyun k Shayad mujhe Khuda ki Har Makhlooq se Ek Aam Admi k Muqaablay mein Kuch Zyaada hi Lagaao Hai ...

Khair , Subh Parindon k Khaane k Intizaam k baad Jaldi Jaldi me apne Khaane ka Intizaam karke Roz ki Tarah Phir se Aaj Apne Kaam ki Talaash mein Nikal Padaa ...Mein Ne Haal hi mein apni Graduation complete ki hai or Aaj Kal Kaam ki Talaash mein Phirta hun ...Kaafi Jagahon se Mayoosi mili lekin Shayad Khuda ko Kuch or hi Manzoor hai ...

Roz ki Tarah mein Apne Ghar k Saamne wali Sadakk se ek Bus k Zariye Safar ka Aghaaz Shuru karne ka faislaa kiya ... Bus Stop pe pohncha or Bus ko anay mein abhi 15 minutes baaki the ...tab tak ek Thelay wale se Akhbaar Kharid kar Parhne Laga hi thaa k achanak ek Sufaid or halkaa Bhoora Rang ka Kutta mere Paaoun k paas aa Bethaa or Mayoos o Miskeen awaaz nikaalne laga ... Uski Haalat dekh kar aisa mehsoos ho raha thaa k ye Kaafi Din se Bhooka hai ...Uske Jism par kuch Khirochein bhi mehsoos hoti nazaar aarahi thi Jesay kisi ne Is Jaanwar ko Tashadud ka Shikaar banaya hon...

Khair phir mene Apne Tiffin k Dabbay me se Ek Roti Nikaali or us Kutte k Saamne daali ...Roti uske Kareeb daalte hi uskaa Roti par Jhapat kar Khaane kaa Andaaz bayaan kar raha thaa k Jesay aaj Ek Neki Mere Amaal mein Likh Di gayi Ho ... Khair itne mein Meri Bus k aanay ka waqt bhi hogaya thaa ... Bus aatay hi mein us Bus mein Beth gaya or apne Kaam k silsilay mein Safar ki Ibtidaa kardi ....

Din Bhar Kaam ki talaash k baad jab Shaam ko Wapis Ghar aaya to wo Sufaid o Bhoora Rang ka Kutta abhi bhi us hi Bus Stop k paas Betha thaa ...Jesay hi mene Bus se Utarnay k liye Zameen par Kadamm Rakha wo phir ek baar meri taangon se lipatt gaya or apni Dumm ko hilaanay laga ...

Mene Phir se ek Kareebi Roti ki dukaan se Roti khareed kar Daalnay ka faislaa kiyaa..or phir usne usi andaaz se Roti ko Hadapp kar dikhaaya ...

Roti khaanay k baad wo Miskeen Kutta mere saath saath chalta raha or mere Ghar tak aa pohnchaa ...Khair me apne ghar me chala gaya or wo Darwaaze k Paas puri raat bethaa rahaa ....

Aglay 2 din tak yehi Marhaala Chalta raha ...Subha shaam us Kutte ko ek Roti ka Khilaana  bhi meri Dilli Khushi ka sabab bantaa ... or din baa din us Kutte ki Halaat behtarr hoti nazaar aa rhi thi ...Jab k mene Pehli baar jab isay dekhaa thaa to wo nihaayat Kamzor thaa ... 

Khair Aglay din Itwaar ki Subhaa hui , Phir se mene apni Balcony me Parindon ko Daana Paani dene k liye gayaa or jab Balcony se neechay nazar padi to dekhaa wo Kutta neechay Bhonkta hua nazarr aa raha hai .... Aaj Shayad mein usay Bus Stop me nahi Milaa thaa to wo mere ghar k neechay tak aa pohnchaa meri Talaash mein ...

Foran mein Kal raat ki ek Baasi Roti Liye Seedhiyon k Zariye Neechay Pohnchaa .,.. Or Kutte ko phir se wo Baasi Roti Daalne Laga ...Lekin wo Kutta Muu Modh karr mere ghar k saamne waali Gali me Gayaa or ek Jali hui baasi Roti Laa Kar mere Kadmon me Rakh di or Mere Haath se meri Roti Cheen kar Khaane Lagaa ....

Ye Harkat us Janwar ki Mere Samajh se Bahaar thi ... Lekin Kuch hi Lamhe me mein Samajh Gaya tha ... k Rozaana me is Jaanwar ko Rizq detaa hun , Lekin Aaj k Din isnay mujhe Bus Stop pe naa paa karr Khud se mere Ghar ki Taraff Naa Sirf Aanay ka Faislaa kiya balke Meri Khaatir Naa Janay kis ki  Jali hui Roti ka Tukdaa bhi le aaya , 

Kahaa Jaata hai Insaan Ashraf ul Makhlooqat hai ... Be Shak Hogaa , Lekin Insaan ko tamaam Makhlooqat par Sharf haasil hai to kyun Insaan Doosri Makhlooqat ka Dard nahi samjhtaa , Me Samajhta hun k humein Sharf Doosri Makhlooqat par Isiliye Haasil hai taa k hum Tamaam Makhlooqat ki Madadd kar sakein .... Or Khudaa ki Har Makhlooq se Muhabbat kar sakein ...

Kuch Din Ek Jaanwar ko Rizq De Karr Dekho yaa Koi bhi Bhalaayi ka Amal kar k dekho , Wo Kis Tarahh Tumhaara Karz Chukaayegaa Tumhe Andaaza Hojayega k ek Insaan se Zyada Insaan ek Janwar hai ...







Thank you for Reading

Please Like and Vote for more Stories 

Please Comment and provide me your Feedbacks

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 25, 2016 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Little ThingsWhere stories live. Discover now