Laut Ana

152 10 5
                                    

Udaas shaamein, ujaar rastey, kabhi bulaein to laut ana,
Main kisi ki aankhon mein raat jaagun ke azaab aaein to laut ana.

Abhi nayi wadiyon, naye manzaro mein rehlo magar meri jaan,
Yeh sab ek ek kar ke jab tum ko chhor jaein to laut ana.

Jab shaam dhalte he apni panah gaahon mein laut'te hain,
Agar vo panchhi kabhi koi daastaan sunaein to laut ana.

Naye zamane ko kurb orrhay, zayeef lamhe, nidhaal yaadein,
Tumhare khwabon k band kamre mein laut aaein to laut ana.

Agar andhero mein tumko bhool jaein tumhare saathi,
Or apni khaatir he apne apne diye jalaein to laut ana.

Main rozz hawa pe likh likh k yeh uski jaanib bhejta hoon,
Ke achche mausam tumhare phoolon pe jhilmilaein to laut ana.

Meri vo baatein jin pe be-ikhteyaar hassta tha tu khilkhila kr,
Bichharne wali meri vo baatein kabhi rulaaein to laut ana.

Meri vo baatein jin pe be-ikhteyaar hassta tha tu khilkhila kr,Bichharne wali meri vo baatein kabhi rulaaein to laut ana

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Khamoshiyaan (Silence)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें