Dadi Mujhse Kehti Thi
'Khaali Ghar Jo Hotay Hain
Unn Mein Roohein Hoti Hain
Jo Dikhai Na Deti Hain
Jo Sunai Na Deti Hain.'
Par Main Dekh Sakti Hoon
Aadhi Raat Ko Ghar Mein Mere
Koi Khoon Liye Phirta Hai
Or Vo Bohat Darauna Hai
Lagta Nahi Vo Insaan Hai
Shayad Vo Shetaan Hai
Janti Nahi Vo Mujhe Kaise Dikhta Hai
Vo Mujhe Dekh Kar Ajeeb Sa Hasta Hai
Shayad Main Bhi Mar Jaun Gi
Or Phir Dikh Na Paun Gi
Dadi Mujhse Kehti Thi
'Khaali Ghar Jo Hotay Hain
Un Mein Roohein Hoti Hain
Jo Dikhai Na Deti Hain
Jo Sunai Na Deti Hain.'
आप पढ़ रहे हैं
Khamoshiyaan (Silence)
PoetryHi guys, as I have my collection of English poems, I have of Urdu as well, but not written by me, its my favourite poem collection, hope u like it.