Khwahishein

171 21 16
                                    

Aaj phir bikhar jaane ka man karta hai,
Aaj phir mit jaane ka man karta hai,
Zindagi ne bebas bhi itna kardiya hai,
Ke khud ka hi raqeeb ban jane ka man karta hai.

Khwahishaat ki had na rakhta hai insaan,
Aukat se zyada chahta hai insaan,
Himmat bhi apni na badhata hai insaan,
Aur kam se kam aazmayish ki tawaqau Allah se karta hai insaan.

Main aaj har bedi se aazad ho jaun,
Main apni palkon ke harkat karne me khudmokhtiyaar ho jaun,
Main saans bhi lene par ijaazat lene se dast bardar ho jaun,
Main aaj har khism ki qaid se azaad ho jaun.
 

          
                                ______18 May 2016

Bebas Dilon Ki DastanWhere stories live. Discover now