Najany kyun aj phir
Wahi iztraab,
Wahi baysakooni
Wahi bechaini
Kyun hai???Aj itnay arsay baad
Wahi veraniyaan,
Wahi khamoshiyan,
Wahi sunsan samma
Kyun hai???Dhondnay chali jb in veraniyon
khamoshiyon mein,,,
Wo kirann
Aur halki si sarsarahat ko
Gungunahat koDhondnay chali jb
Us pur-israr manzar ko
Jo mery khuwabon,,,
Mein bassa tha
Mery pardon mein,,,
Chuppa thaaMein nay daikha
Us pur-israr manzar ko
Jahan roshni thi aisi
Pur-muhaal rangat thiMein nay daikha
Us pur-shikwa manzar ko
Jahan gungunahat thi aisi
Kamal mausam thaWahan ki shamien
Wahan k dinn
Aisy thy jaisy
Khushiyon say labraiz
Tanhaiyon say azaadMein nay daikha
Ye sab daikhaa
Apnay khuwabon mein
Apni sochon meinPr jb chali duniya ki chah pr
Haqeeqat ki rah pr
Na daikhi wo kiran
Na daikhi wo roshniBarra ajeeb manzar hai
Is duniya-e-faani ka
Tanhaiyan, barbadiyan
Chaar so laraiyaanAndhair hai, andhair hai
Tareekiyan hain char so
Naa hi dhond saki mein
Wo roshni apni chah sayYe duniya k log aisy ban gaye
Jaisy khar hon gull prr
Dagh ho chand parrKhushbo na ho jis phool ki
Murjha k jo mrr gaye
Wo phool hain ye logPhir wahi izataraab
Wahi baysakooni
Wahi baychaini
Liye chal prri
Is raahh prHaqeeqat ki raah pr
Andhera hai chaar soK khuwaab to khuwab hain!
Khuwab hi rehty hain!
YOU ARE READING
Andhairay Mein Safar
PoetryWe are living in the world of darkness and we don't have enough power to change this world. We are seeing the destruction of this world but can't do anything.