Raah-e-Pur Aashoob

78 6 8
                                    


Najany kyun aj phir
Wahi iztraab,
Wahi baysakooni
Wahi bechaini
Kyun hai???

Aj itnay arsay baad
Wahi veraniyaan,
Wahi khamoshiyan,
Wahi sunsan samma
Kyun hai???

Dhondnay chali jb in veraniyon
khamoshiyon mein,,,
Wo kirann
Aur halki si sarsarahat ko
Gungunahat ko

Dhondnay chali jb
Us pur-israr manzar ko
Jo mery khuwabon,,,
Mein bassa tha
Mery pardon mein,,,
Chuppa thaa

Mein nay daikha
Us pur-israr manzar ko
Jahan roshni thi aisi
Pur-muhaal rangat thi

Mein nay daikha
Us pur-shikwa manzar ko
Jahan gungunahat thi aisi
Kamal mausam tha

Wahan ki shamien
Wahan k dinn
Aisy thy jaisy
Khushiyon say labraiz
Tanhaiyon say azaad

Mein nay daikha
Ye sab daikhaa
Apnay khuwabon mein
Apni sochon mein

Pr jb chali duniya ki chah pr
Haqeeqat ki rah pr
Na daikhi wo kiran
Na daikhi wo roshni

Barra ajeeb manzar hai
Is duniya-e-faani ka
Tanhaiyan, barbadiyan
Chaar so laraiyaan

Andhair hai, andhair hai
Tareekiyan hain char so
Naa hi dhond saki mein
Wo roshni apni chah say

Ye duniya k log aisy ban gaye
Jaisy khar hon gull prr
Dagh ho chand parr

Khushbo na ho jis phool ki
Murjha k jo mrr gaye
Wo phool hain ye log

Phir wahi izataraab
Wahi baysakooni
Wahi baychaini
Liye chal prri
Is raahh pr

Haqeeqat ki raah pr
Andhera hai chaar so

K khuwaab to khuwab hain!
Khuwab hi rehty hain!

Andhairay Mein SafarWhere stories live. Discover now