Chaltay chaltay zindagi youn bhatki
k raastay mein reh gaiMeri aahatien, meri aarzo, meri justajoo
rastay mein reh gaiYe wo raah thi jahan panchi b guzarnay say dartay thy
Is raah say jo guzar gaye wo phir zamanay say dartay thySuna tha is raah mein milti hain khuwabon ki taberien
Jb chalay is raah pay to khuwab b kho gayeZindagi aisi bhatki k kho gayi k mein dhondti rahi
Wo saz baaz wo shehnaiyan mein dhondti rahiZindagi ganwa k, logon ko bhula k, chahat ko ganwa k
Phir pachtaway k siwa kuch na rahaAankhon ko rula k, khuwabon ko sula k, nazron ko cupa k
Phir pachtaway k siwaa kuch na rahaMein nay socha ghalti nahi meri magar
Haqeeqat jaan kr aisi himaqat kon karta haiMan moji panchiyon ki trh gumam musafat kon karta hai
Meri aarzo jo rahbar thi aj wahi adwat rakhti haiWo zindagi jo meri thi ab koe sarokar nahi rakhti
Meri justajo jo toot k baras gayiiMeri zindagi jo paltii to bikhar gayiii
Kaafi arsaa beet gayaNajanay wo zindagi
Kahan gayi, kidhar gayi?
Kho gayi ya so gayi???
YOU ARE READING
Andhairay Mein Safar
PoetryWe are living in the world of darkness and we don't have enough power to change this world. We are seeing the destruction of this world but can't do anything.