Chaand...!!!! mere nazar main RUB ki sub sy haeen takhleeq hai .....kehty hain kay jo chezain zeyada azeez hote hain unhain logoon ki dastaras sy door rakha jata hai ...shayad is hi liye yeh chaand hum sy melon door hai ....Or us par yeh sitam kai jisy dykho is ki muhabbat main dewaana hua phirta hai ... magar ise hasil nahen kar sakta,Yaqeen maneye kay
Hamari zindagi main kuch loog bilkul chaand ki manind hoty hianjin sy hamain dewaana waar muhabbat hote hai magar wo hamare dastaras sy kosoon meel door hoty hain.
jin kay dedaar k liye bhi aik waqt e muqarrarah darkaar hota hai
us waqt k alawa mano un ka koi wajood hi na ho,yeh wo loog hian jin ko chonay ki khuahish dilon ko roshan rakhte hai.
jin sy milna is hi tour na mumkin hota hai jaisy muhabbat kay lams ko mehsoos karnay ki masoom see umang.
kabhi kabhi main is hi khayaal main ulajh jate hon kay chaand jaisy loog hamare zeest ka hissa banty hi q hain ??
yeh baat mujhy aksar o beshtar ranjeedah kiye rakhte hai.
YOU ARE READING
Chaand Jaisy Loog
FantasyChand !!!qudrat ki haseen takhleeq ..mera bhi is takhleeq sy kaafi gehra rishta hai ....:)