Chapter 2

1.4K 91 13
                                    

Tewer thay berukhi ke ,Andaz dosti ke.
Wo ajnabi tha lekin Lagta tha Aashna sa.

           ❤️Ahmed faraz❤️

Ye ek saal kese guzar gaya pata hi nahi chala wahab ab apni law ki degree ke saath wapas jaane ke liye tayaar tha lekin apna dil wo humaisha is ajnabi dess main chhor kar jaana nahi chahta tha.

club main us haadse ke baad wo sarah ko ek nayi nazar se dekhne laga tha ,
Sarah  ki har muskurahat wahab ke chehre ko bhi roshan kar deti , us ki har takleef ko wo apne dil par mehsoos karnay laga tha.

na chahte huwe bhi wo sarah ki taraf is mazbooti ke saath jurr raha tha kis se  wo chhah kar bhi alag ho na raha tha.  jub bhi koi aur sarah ki taraf dekhta bhi to us ka khoon kholna shuroo ho jaata aur dil karta ke wo usay saari duniya ki buri nazron se kahien chhupa le jahan sirf us ki ankhon ko sarah ke maasoom chehre ka deedar ho.

par ye sub ahsaasaat is baat ke gawah the ke wahab ke liye sarah ab sirf ek dost nahi rahi thi balkay us se kuchh barh kar thi.

aur ye baat andar hi andar wahab ko bechain kiye ja  rahi thi.

wo sarah ko apni zindagi main shamil karnay kay khuaab saja raha tha jo wo khud bohat achhi tarhan se jaanta tha ke kabhi pooray nahien honge  .

Wo jaanta tha ke agar wo sarah se shadi ki khuahish apnay  apnay ghar waalon se kare ga to us ke waalid ghulam haider kabhi is baat ke liye raazi nahi honge .

Aur isi waja se wo ab sarah se doori banana chahta tha par uski har sochh sirf sarah ke gird ghoomti thi .

  karachi jaane se pehle wo ek baar sarah se milna chahta tha uskay har naksh ko wo apne zehen main qaid karlena chahta tha . Kitna  bebus mehsoos kar raha tha wo ke ye jaante huwe bhi ke uski ye mohabbat ek tarfaan nahi hai sarah bhi uskay liye wahi mehsoos karti hai jo wahab sarah ke liye phir bhi wo sarah se apni mohabbat ka izhaar nahi kar paa raha tha, aur humaisha humaisha ke liye wo apni pehli muhabbat ko aisay adhoora chhor kar jaanay  par majboor tha .

Magar karachi jaane se pehle sarah se milne ka usnay pakka irada karliya tha aur isi liye usnay Anglina ke zariye sarah ko ek coffee shop main milnay ke liye bulaya tha aur wahan beth kar wo sarah ka intezaar kar raha tha .

Wo jaanta tha ke sarah zaroor aaye gi . aur kuchh hi dair main usnay sarah ko aatay dekha , golden brown hair , safaid rung aur us ki green eyes  jo sarah ki wahab ke liye be loas mohabbat ki gawah thien , aur jin main wahab ne aksar khud ko khoye paaya tha aaj  un ankhon main udaasi thi aur unki surkhi bata rahien thi ke kal raat sarah ke liye kitni udaas raat thi .

Sarah ki sooji ankhon aur uske udaas chehre ko dekh kar wahab ka dil kiya ke wo sarah ko apnay seenay se laga le , us se apni mohabbat ka izhaar karay aur sarah ko kabhi khud se alag na hone de,  par wahab ne ye sub karne se khud ko rokay rakha tha.

Sarah  wahab ke saamnay ki seat par beth gayi . Ab jub dono ek doosary ke saamnay the to samajh nahi aa raha tha ke ke kya kahain par dono ke darmyaan mojood ye khamoshi unki khaamosh aur laa-haasil muhaabat ki gawah thi .

" Hi"aakhir sarah ne apni zabaan pe lage bund ko toda tha aur isi ke saath us ki ankhon main bhi jalan shuroo ho gayi thi par wo wahab ke saamne kamzor  nahi hona chahti thi.

" Hi . Kesi ho tum "

"Main theek hoon" sarah ne jawab diya tha lekin nazrain uski goad main pade bag ki strab par thi jise wo apni ungliyon se  narmi se masal rahi thi .dil main bohat kuchh tha kehne ko dono ke paas par dono keh nahi paa rahe thay.

ye jaantay huway  ke aaj ke baad wo shayad ek doosray ko kabhi na dekh paaian . Aur shayad ye unki aakhri mulaqat hai,  is liye apni muhabbat ka izhaar karna ek doosray ko aur takleef denay ke mutraadif tha .

Wahab ne dono ke liye coffe ka order diya aur dono ne khamoshi se coffee pee .

Kehtay hain  ke kabhi kabhi khaamoshi,  lafzo'n se zyada aapkay ahsaas ko byaan kar sakti hai. Aur aaj Sarah aur Wahab , Dono ke liye ye kaamoshi hi kaafi thi .

Wafaye ishq. #Completed ✔️Where stories live. Discover now