Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mein Ke Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal KardoNa Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo...Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kardo...Dhoop Hi Dhoop Hon Mein Toot Ke Barso Mujh Par,
Mein To Sehra Hun Mujhe Piyar Ka Badal Kardo...Iske Saye Mein Mere Khwab Mehak Uthen Gey,
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kardo..Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ik Nazar Piyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo...****************
Wahab ke proposal ke doosray din se hi Angi sarah ko lekar uski bridal dress ki shopping main lag gayi , aur wahab ne john ki help se ek private company main job haasil karli thi . John ke lakh kehnay par bhi usnay john ke ghar rehnay se mana kardiya aur abhi tak usi hotel main reh raha tha . Shadi ke baad wo kuchh paise jama kar ke apna ghar lena chahta tha par tabtak wo sarah ke saath shift ho raha tha , uskay paas jitnay pesay thay wo kuchh hi mahinon main khatam ho jaaian ge , par ye baat sarah ko nahi batana chahta tha ke wo ab pehlay jesa ameer nahi raha tha kyunkay wo sarah ko in sub jhanjhaton main nahi daalna chahta tha.
Shadi se ek din pehlay sarah ne wahab se kaha ke wo islam qabool karna chahti hai jis per wahab ne sarah ke is faislay ki waja poochhi jis pe us ne kaha ke wo wahab ke liye musalmaan hona chahti hai to mateen ne usay aisa karne se saaf inkaar kardiya ke wo nahi chahta ke sarah apni zindagi ka itna bada faisla sirf wahab ke liye karay wo chahta tha sarah pehlay islam ke baaray main jaanay Aur phir apnay pooray dil se islam qabool karay jispe sarah ne heraangi se poochha ke agar usay islam pasand nahi aaya to, jis par wahab ne muskuratay huway sirf itna kaha ke aisa ho hi nahi sakta .
Shadi ke din sarah ne white net bridal dress pehni thi jis main wo ek princess lag lag rahi thi aur wahab ne Angi ki farmaish ( jo darasal sarah ki farmaaish thi ) pe pakistani kurta shalwar suit pehna tha jis main uski personality main char chand lag gaye thay aur jub dono ne ek doosray ko dekha to dono ek doosray se nazar hatana bhool gaye jis pe unkay friends ne hooting shuroo kar di thi.
wahab ne paas hi ek masjid ke imam se apna nikah padhwaya aur gawah john aur un kay collage ke kuchh friends huway.
Nikah aur sub ki mubarak ke baad wo change karkay ek restaurant main khanay ke liye gaye jo wahab ki taraf se sub ko treat thi wahan wahab sarah ki barabar ki seat pe bethnay wala thay ke Angi wahan aa kar beth gayi aur sarah ki doosri taraf Ashly bethi huwi thi , na chahtay huway bhi sarah ke saamnay wali seat pr john ke barabar main Beth gaya .
Wahab Angi ko achhi tarhaan jaanta tha usay tung karnay ke liye wo jaan boojh kar sarah ke saath chipki huwi thi aur aaj wahab ko Angi zehar lag rahi thi aur us ka bus nahi chal raha tha ke wo uth kar sarah ko pakar kar apnay saath bitha le ..par ye soch kar khamosh tha ke lunch ke baad to wesay bhi sub ko unhain akela chhorna hi hai aur phir sarah sirf us ki hai ye sochtay huway wo sarah ko shokh nazron se dekh raha tha is baat se anjaan ke john wahab ko sarah ko is tarhaan dekhtay huway dekh raha tha."Sarah par masaala lagao ge ya aisay hi katcha bina masalay ke khao ge kyunkay khana to tum kha nahi rahay".
John ke ye kehnay par wahab ne chaunk kar uski taraf dekha jo dabi dabi hansi hans raha tha phir usnay baaqi sub ki taraf dekha jo khanay aur baaton main masroof thay aur shukar kiya ke unpay baqi kisi ka bhi dhiyaan nahi tha.
ČTEŠ
Wafaye ishq. #Completed ✔️
PovídkyHighest ranking:#1 in short story Completed Kya kisi ki mohabbat itni gehri ho sakti hai , ke dunya ke har rasm-o-rawaj ko tor kar nibhaayi jaaye....!? Kya sarah ke pyar main itni taqat thi, jo Wahab ko saat samandar paar kheench le. Ek aisay ishq...