Part_1

12 1 1
                                    

Yeh kahani meri apni aap beti hai jo k meri khushgavar zindagi mein achanak se paish aye.
Aik larki jo k ek hadsay ki waja se mayosi ki dal dal mein chali gaye thi aur phr kesay zindagi mein tabdeli aye aur umeed ki kiran dikhnay lagi.
Hua kuch asa k bachpan se hi akloti honay ki waja se shuru din
se hi bahot piyar mila.
Na sirf parents ne bal k poray ghranay ne bahot mohabbat di.
Hum pori family mein sirf 3 bachay thay.
Jin mein meray baba k uncle k 2 betay Ali,bilal aur tesri mein
akloti dua shamil thay.
Ali k sath bachpan se hi nhi banti thi hamesha lrai hoti rehti thi.
Lekin bilal bahot acha tha.
Hamesha dost raha aur hmari kabhi lrai nhi howe...
Al bata yasu panju khailte howe marta tha par manata bhi tha aur chup bhi krwata tha.
Hum ek hi school mein parhtay thay.
Bilal mujhse 2 saal agay tha kyun k wo mujhse barra tha.
Hum school mein lunch aur cheez ek dusray k sath share krtay thay...
Jab bhi koi khail hota me bilal ka sath psand krti thiii.
Koi bhi kam hota hum sath jatay.
Aur zyada tar tou asa hota tha k wo jab bhi khana kha raha hota mein bhi us k sath beth k khanay lag jati.
Bachpan mein humen bubbles bnanay ka bahot shoq tha iss liye
mil kar shampo waste kia krtay thay.
Aksar garden mein sath mil kar jaya krtay thay.Aksar hum school k liye khud paidal bhag prtay thay.
Herat ki bat hai k bachay apas mein lrtay jhagrtay rehtay han par Allah ka karam raha k hum kabhi nhi lray...👫❤✌

Be!ntehaaWhere stories live. Discover now