❤New beginning or old past💔

640 19 9
                                    

(Scene shift to Paris)

Location:-Charles de Gaulle Airport

Pure 9hrs 50minutes journey karne ke bad finaly shan aur sam paris ke charles de gaulle airport par  land kiye.. apne immigration karane ke liye immigration counter ki taraf ja rahe the..

dusre taraf ek ladki bhagi bhagi airport ghus rahi thi..woh late ho gayi thi flight ke liye..iss late hone ki waja se woh khud se bhi bohot gussa thi.. usse late hona bilkul pasand nehi hain...

Girl (talking to herself):-oh god main itna irresponsible kaise ho sakti hoon.. i hope ki flight na chut gayi ho.. agar flight miss ho gayi na toh woh dono mujhe maar dalegi..

Shan aur sam apna airport ka kaam khatam karke gate taraf ja hi rahe the ki

''BOOM''

Shan ka ek ladki ke sath jor se dhakka lag gaya..uss ladki ki haat main jitna bhi saman tha sab leke woh ladki gir gayi..

Shan(apologetic tone):- i am so sorry, you okk na??

Girl (angry tone):- can't you see huh?? Idiot

Girl (with out turning towards him):- its okk, next time be care full..

Bas itna bolke woh ladki jameen pe bikhri padhi  apna saman uthake firse bhag ne lagi gate no 6 ki taraf.. shan thoda shocked tha kyuki aj tak aisa behaviour wohi kartah araha hain sab ke sath.. leken aj jab pehli baar koi uske sath aisa behave kiya toh yeh baat kuch hazam nehi hua usse...

Shan p.o.v

Patah nehi kya samajhti hain apne app ko.. par.. ek sec.. ek sec... uss ladki ki voice.. bohot suna suna lag raha hain.. leken kaha?? Kaha suna hain?? Yaad kyu ni araha.. oh godd..

Shan ka yeh thought processes break  hua ek sudden hug se..
Mudh ke dekha toh zindegi ka sabse bada shock usske samne tha..

Shan(shocking tone):- sneha kapoor??????

Haa yeh wohi ladki thi jisse shan ne aj se 7 yrs pehle collage main mila tha..aur ek nazar main usse pyaar ho gaya tha..''predictable is so boring,who want's to be predictable'' lagtah hain zindegi bhi iss line ko kuch zada hi manti hain.. tabhi toh jab lagtah hain ki sab kuch thik hone wala hain thik ussi waqt zindegi aisa trun leti hain ki samajh na muskil ho jata hain ki kare toh kare kya...

Sneha (excitedly) :- hey!! Whats up??

Shan (shockingly):- tum yaha kya kar rahi ho??

Sneha (sad tone):- lambi story hain shan.. tum batao tum yaha kaise??

Shan:- woh kuch kam ke liye aya hoon...

Sneha:-kab tak ho yaha??

Shan:- next week tak..

Sneha(sad tone):- parso mil sakte ho?? Kuch baat karni hain??actually mujhe abhi new york jana hain ek meeting hain kal sam ko..

Shan (hesitating):- parso?? Ok but kaha??

Sneha(excited tone):- castel cafe?? 6:30 sharp??

Shan (hesitation tone):- okk fine..

Sneha(hug him but he didnt give her respons):- byee shan...

(And she left)

Shan ne sneha se milne ke liye raji toh ho gaya leken usska dil usse mana kar raha hain aise karne ko.. shan apne in sare thoughts ko side main rakh ke airport nikal ke aya toh dekha sam airport ki gate pe khari hain aur shan ka intezar kar rahi hain...

Shan (stammering):- sam.. woh.. woh..

Sam (clam tone):- sneha se mila tha???

Shan (shockingly):- haa tujhe kaise patah??

Vrushanff:-kya Pyaar Karoge Mujhse? {Complete}Where stories live. Discover now