Hindi aur Urdu

29 3 0
                                    

Na tu mere Jesa, na mein Tere jesa
Bohot hogayi ye Kahani purani
Hai tu Mera hissa, Hun mein Tera qissa
Hai ek dusre se hamari rawani

Na tu mujhko bante Geeta mein laakr
Na mein tujhko baantu Quran ki khatir
K Tera nasheman bhi Hindustaa' Hai
K Bharat mei janmi Hai Meri kahani

Na banto mujhe watn ki sarhadon see
K sarhad se zada Umar mein badi Hun
Nahi baandh sakti ye seemayein humko
Bhala ishq ne kab zamane ki maani

Jo Hai bant te , unse Aiman ye kehdo
K ganga aur jamna ki Hain sanskriti hum
Kyun hon bhi juda ye Zara to batao
Hai kawita mohabbat ki jug ko sunani

                                             Bushra Aiman
______________________________________

Assalamualiakum!

Well this poem is nothing but a result of 3 A.M thoughts and little fever 😂

Well, I am so much attached with the subject of this poem because I personally am a very big fan of unity in diversity. Hindi and Urdu languages are two such good examples of love and bonding!!!

Canyon... A Series Of Short PoemsOù les histoires vivent. Découvrez maintenant