chapter 1

374 4 9
                                    

Sari dunya ek taraf ye larka ek taraf mangni kerwa k goya hum pe koi ehsan ker rha hay

tai jan waqai ajis dikhai day rhy thien

sub dikhawa hy tai jan mosof dil o jan balky jigar o phephron samait razi hein ye sub ehmiyat berhanay ki adaien hein jo har baat per youn naak bhoon charhay ja rhy hy zoha ny chai ka cup unki taraf barhatay howay haqqeeqat ashkar ki to chachi jan ny tafakur say poucha

ab kia keh rha hy woh?

wohi baikar ki zid mangni ka sara intazam kisi marriage hall mein ya lawn mein hona chahyay

tay jan ny bairazi say kaha to zoha ko istaijaab ny a ghera..

ghar ka lawn inhy pasand nhin to kisi marghizar lawn ki farmaish kiun?

us kay sawal k jawab mein tay jaan ny nhin balky amaad k sath andar atay howay usny khhud baray shahana andaaz mein jawab diya tha...

Larki pasand kerny say lay ker inho ny mujhy kisi mashraqai doshiza ki tarah chup rakha hay..laikin ab mein sahb e iqtadaar houn..lihaza meri har baat mani jay....halanky sahb e kirdaar hotay to baat zida mani jaty..amaad k karway karailay jaisay luqmay ko zoha ny kafi mehfooz kiya tha....

aisay hotay hein astin k samp...

anas ny kushon utha k amaad ko day mara tha...phir atal andaaz mein bola...tum log kuch bhi bolo magar mein kisi qeemat mein ye function ghar pe ni honay day sakta.....

or mein kahin bhi ni honay daynay chahta....magar wai qismat.....amaad ny ah bhari...

akhir tumhy aitraaz kiun hy mangni ki taqreeb ghar mein honay per?

chachi jaan in sub ki ghair sanjeedgi say sakht allergic thien......so unho ny foran baat ko asal mozo per palta to anas ny unhy baray tasuf say unhy dekha jaisay is sawal ki usko tawaqo ni thy...

ap to ye sawal mat pouchein chachi jaan! is ghar ki tariqh gawah hy bachpan say lay ker aj tuk is lawn mein jitnay function hoay hein uski decoration ka zima hamaray sir per jaata hy is lawn ko decorate kerny k liyay humein jis marahil say bhi guzarna perta hy unsay shaid ap waqif ni......

walid saab sar pe kher k ek ek phool patay ki jhaar poonch keratay hein maaf kijyay ka laidies laikim mein apni mangni k din ek mangaiter nazar ana chahta houn na k mali....uski jazbaty taqreer per anas or amaad ny taliyan baja ker daad di magar tai jaan sar hathoun mein taham ker baithy rhien....

per bayta jee zaa zi mehnat lawn ki shakkal nikal aty hy sabhi hamaray han ki sajawat ko pasand kertay hein chachi jaan ny goya lalchanay ki koshish ki magar wo apny maqam mein say ek adh inch hilny ko tiyar ni tha.....

na sirf lawn ki balky hamari bhi shaakkal nikal aty hy itni khowari mujhy manzoor ni.....meinay pehla mard dekha hy jo apni mangni k moqay per apny husan kayliyay is qadar tachi ho rha hy....halanky jo cheeze hy hi ni usky liyay paraishani ka kia faida.....amaad ny sara sar personal attack kiya.....magar anas jawaban baray thanday pan ka muzahira kertay hoay beray aram say bola

is baat k liyay mein tumharay daant bhi tor sakta houn......ye baat apko zara ghussay say kehni chahyay takay amaad bhai preshuraize hon sakein....zoha ny usay uksaya to amaad bhandha phorny walay andaaz mein bola..

ussay ni mujhsay poucho abhi abhi jents beuty parlor say tips lay ker araha hy k muskarahat husan ka zewar hay...

tenoun khawateen ki hansi per anas ki hansi per anas ki muskerahat ghaib honay per pal bher bhi laga....

bhth khabees shakhs ho tum...abhi atay hoay kisi ko batanay say mana ker rhy thay........

usny dant kichkachay to ammad ny foran tok diya.......youn mat kero.........ek daant bhi idhar udhar ho gaya na to samjho beution ki tip baikar or mangni ka show flop.......

muhabbat dil per dasatakWhere stories live. Discover now