Yes, i'm a girl

333 17 18
                                    

Ist Reporter - how could you so careless ma'am with your statement, afterall you are also a girl.......

Well reporter sahiba thanks for reminding me that i'm a girl and it's a promise i'll never forget it.

2nd Reporter - Ma'am aap hamare sawalo ko mazak me nahi taal sakti......

Maaf kijiyega sir par aap me se kisi ne bhi abhi tak mujhse ek bhi sawal nahi kiya, sirf allegation hi lagaye ja rahe hain.....

3rd Reporter with a smirk - So tell us ma'am why did you say that government should allow the parents for sex determination, looks like you hadn't heard about Prohibition of Sex Selection Act, before delivering such a childish suggestion to the society .....

Ofcourse i heard about that act, but tell me sir, how many percent of people follow this act, even sometimes many doctors break this rule illegally just for making money. If government allows this prediction, atleast they will not need to break this act and poor people can easily get this test done.....

2nd Reporter - par kya aapko pata nahi kis tarah ke log aise test karwana chahte hain??

Wo log jo ladkiyo ko apne child ya first child ke roop me nahi dekhna chahte aur kabhi-2 to kuch log shauk me bhi aise test ko anjaam dete hain. Par kuch log aise bhi hain jinhe sirf is baat ki khushi hoti hai ke wo pehli baar parents banne ja rahe hain unhe is baat se koi fark nahi padta unka descendant ladka hoga ya ladki aur aise log sex determination ko ek disgusting idea ke roop me dekhte hain....

Ist Reporter (furiously)- Ohh to aap shayad isliye is test ko legal karana chahti hain kyonki aap bhi future me khud ek beti ki ma nahi banna chahti. You are also among those people who are not ashamed to commit abominable sin like feticide, just wanting a boy.....

Mai kya chahti hu iska jawab mai thodi der baad dungi. par mai ye jarur chahti hu jo parents girl child nahi chahte they should be allowed to resort to their embryo destruction......

3rd Reporter - Here the Government is running the Prevention of Feticide Act to save girls and you want to promote crime like killing unborn girls. I beg your pardon naina ma'am but we are not here to listen your rubbish thinking......

Plz keep sitting my friends.....she said calmly

Ist Reporter - ab hame aapki ghatiya soch ko aur nahi sunna, sorry to say ma'am par aapke is press conference me aana meri life ki sabse badi bewkoofi thi and plz change that motto of yours Foundation jise shayad aapne sirf taaliyo ki goonj sunne ke liye create kiya hai.......

Naina- my friends agar aap mujhe apna thoda sa waqt aur de to mai aapko ek choti si kahani sunana chahti hu, 27 years back Lucknow me apni family ke sath rehne wali 23 saal ki Kajal roz ki tarah jogging ke liye ja rahi thi tabhi use ek bacche ke rone ki awaz sunai di thodi der search karne ke baad use ek woolen bag me 8 ya 10 din ki baby girl wrapped mili, usne turant us new born infant ko apne seene se laga liya aur apne ghar le gyi, hospital me us baby girl ke helth chek up ke dauran Kajal ne us bacchi ko adopt karne ka decision liya, my friends aap sab soch sakte hain ek aisi ladki jiski shadi bhi na hui ho uska single mother banne ke decision ko bahut se log ek laughing object ya bewkoofi maante hain to Kajal ko bhi unhi musibato ka saamna karna pada yahan tak kajal ki ma bhi uske is faisle ke khilaaf thi, is par kajal ne apni ma se ek sawal kiya, agar nani ne bhi aapko janam dene ke baad yuhi kahin garbage me daal diya hota to kyonki aapne hi mujhse kaha tha ke nana ek ladki nahi ladka chahte the......kajal ki baat sunkar uski ma ne use turant gale se laga liya aur unhe apni beti pe bahut garv hua, unhone us baby child ke adoption me kajal ki puri madad ki...... shayad ab tak aap samajh chuke honge wo girl child aur koi nahi mai khud aapke samne hu......

Reporter - ma'am jab aap khud ek abandoned child hain to aise statement dene ka kya matlab aakhir aap kyu chahti hain ek ladki is duniya me aane se pehle hi maar di jaaye, aur aapka ye NGO bhi kya aapki foster mother ka hi koi idea tha???

Yes, I am a GirlWhere stories live. Discover now