Kehte hai log ke humara desh sone ki hai chidya
Par us desh me ladkiyo ka istemal kiya jata hai jaise khilone ki gudiya.Har roz koi aurat zaleel hoti hai
Har rat apni us lachari par roti hai.
Abhi bhi bejan si padi hai kisi andheri gali ke kone me
Aji udne to do, aj bhi pyas bachi h us nanhe se khilone me.Kisi ko parwah nhi un bejan lacharon ki
Sabko to padi hai bas apni chahat mitane ki.Arzoo hai pankh failane ki sabhi ko
Kuch udd pate hai, kuch majburiya daba leti hai unko.Kya hua us desh ki izzat ka jispe hum fakr kiya karte the
Jis ekta ko dekh , angrez bhi dara krte the.Har roz yaha koi kisan bhookh se tadapta hai
Apne parivar ko rota dekh rota hai bilakta hai. Ek bar marne ki bat kya karte ho janab,
Wo to hr pal marta hai.Kya yahi hai wo desh yakin nahi hota
Apne hi apno ke dushman hai
Sab chalte rakh sath me apna ek alag mukhota.Kya fakr karu is desh pe
Jaha apna matlab pura karne k liye bekasur bachhon aurton par hamla hota hai
Chain liya jata hai unse unka wajood puri tarah
Un bekasuro ko mar koi apne jeet ke jashn me khota hai.Kya kasur un masum bachhon ka
Jo tum unhe itni badi saza dete ho
Apni hawas ko mitane k liye
Tum un bachhon ki jaan tk le lete ho.Beshak mai wha nhi thi
Jab un bekasuro ke sath ashleeta ki hade par ki jaa rahi thi
Magar un masoom ladkiyon ki chikh meri kano me aise gunjti hai,
Jaise koi mere samne hi unki jism se unki ruh ko khinch ke nikal raha ho.Unke liye kya devi ka mandir aur kya majar hai
Wo haiwan hai janab,
Unke liye kya budhi maa kya
5 sal ki bachhi bhi bejaan hai....
YOU ARE READING
It's all about good thoughts😊
PoetryPoetry is when an emotion has found its thought and the thought has found words. It is simply the most beautiful, impressive, and widely effective mode of saying things, and hence its important. Honestly, I have never started a poem whose end I knew...