Tujhse jo mila karte the hum
Roz us mohalle me
Dekh un rahon ko aj dil rota hai
dil tujhse milne ke sapne bota haiTeri choti choti galtiyon ko jab hum
Has kar maff kar diya karte the
Teri ek Muskan k liye jab
Hum duniya se lad jaya karte theTera jab wo kan ke pas aake
Haule se gudgudana
Mera kandha hi tha jab
Tera eklouta rakhanaLadna jhagadna ek bat hai
Isi me to chupa tera mera pyar hai
Sath milkar jo pal bitaye
Usi me zindagi gulzar hai.Mile the pehli bar jab
Na jan thi na pehchan
Mehez ek naya chehra tha
Do nazre jab mili anjan.Wo anjan sa jo rishta
Aj itna gehra hai
Ho khatta ya meetha
Har pal bas mera hai.Yad kar wo khushi ke lamhe
Mera har rom-rom rota hai
Dil tujhse milne ke sapne bota hai.
YOU ARE READING
It's all about good thoughts😊
PoetryPoetry is when an emotion has found its thought and the thought has found words. It is simply the most beautiful, impressive, and widely effective mode of saying things, and hence its important. Honestly, I have never started a poem whose end I knew...