continuation of chapter -1

27 1 0
                                    

Yehi se yeh larka ka Zindagi ka rojgar suru , yeh larka ka talim sirf gaon ka patsala me teesri kakcha taak hi tha , isliye kohi kaam v nahi milta aur roj roj barish v nahi hota , Jo raashtey me pani jame aur ghari thelne ka kaam mile , khabi kuch kaam milta to karta nahi to wohi perr ke niche baitha rahta , is tarah khafi din gujar Gaya ,ekdin saam ki waqt Tha khafi baris hone laga to usi perr ki niche khara Tha, baris rukne ke naam v nahi le raha Tha ,utne me baris se pura bhing Gaya Tha , usi perr ke niche ek pan aur cigarette ,biri, bechna wala v khara Tha , uss pan bechne Wala iss larka se puccha kaha rehto ho ,to larka bola Mera yeha kohi nahi hai mai Bihar ka rehne Wala Hoon to uss pan bechne Wala puccha kohi kaam karna chahete ho larka bola kaam ke talash me Hoon jaha kaam v mille aur rahne ka jaga v mil Jaye to aap ka bahut Ahsan hoga mujh paar , woh panbala apne sath le Gaya aur ushi raat ek English sahab ke Ghar me kaam pe laga Diya , is tarah kuch mahina gujar Gaya aur ekdin woh sahab iss larka ko kabab lane bheja , woh kabab ek kagaj ka thonga me lekar wapas ho raha Tha , itne me raashte ke kutta woh larka ka haath me Jo kabab Tha uspar jhapat mara aur chhin liye , larka rota hua Gaya aur sahab ko jaisey hi bataye waise hi sahab ne larka ko bahut mara aur Ghar se v kaam se v nikal Diya aab yeh larka Kya Kare phir se ussi perr ke niche khara hokar usi panwala ka intezar kar raha Tha kyun ke aur kohi Jan pehchan nahi Tha teen din intezar ke baad woh panwala se mulakat hua to woh panwala iss larka ko dekhkar bola yeh kya halat bana rakha Hai to woh larka rote rote sab baat bataye , sab sunkar panwala ko khafi taras aaya aur larka ko bola Mera saath chaloge larka Jane ke liye taiyar ho gaya , woh panwala larka se puccha sahab tumhara talab diya ki nahi larka bola nahi yeh sunkar panwala bola Chalo iska insaaf KHUDA karega ,
Iske baad yeh larka woh panwala ke saath roj pan bechne ki liye saradin panwala ke saath ghumta aur saam hota to woh panwala ek teen Paisa deta aur bolta yeh tumhara raat ka khane keliye ,lekin yeh teen paise me Kya hoga ,ek chota hotel Tha wohi par usi hotel samne jakar intezar karta rahta Tha , KE kaab hotel ka Khana khatam ho jaise hi ek do khanewala wapas hota waise hi jakar table par bhait jata ,to hotel ka Jo munshi Tha samaj jata apna waiter ko bolta jo Khana bacha hua hai iss larke ko de do aur khane ke baad larka do Paisa deta aur ek Paisa subha ka nasta ke liye baccha leta

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 28, 2018 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

WAQTWhere stories live. Discover now