Chapter 58

1.7K 157 9
                                    

Neil was in police station going through some case files. Neela came there.

Neela: Neil

Neil was surprised to find Neela there.

Neil: Aunty aap yaha

Neela: Aana para Neil. Neil dekho mai, mai tumhe saaf-saaf sab batati hoon. Neil kal Avni ne jo kuch bhi kiya woh

Neil: Aunty. Its OK mai, mai uss bareme soch bhi nahi raha

Neela: (Thinks) Paar tumhe dekhke yeh pata chalta hain Neil, ki tumhe kitna zada bura laga

Neil: Aunty

Neela: Haan

Neil: Aunty aap uss bareme please aab aur math sochiye mai, Mai sach keh raha hoon. Mai thik hoon aur kal ke bareme mai kuch bhi nahi soch raha

Neela: Phir bhi Neil. Kal avni ne jo kiya woh thik nahi tha. Usske taraf se mai maafi

Neil: Aunty kya kar rahi hai. Please aap maafi math maangi ye. Mai sach mai thik hoon. Aur mujhe bilkul bura nahi laga. Aur shayad avni ke aisa karne ka ek reason yeh ho ki Vidyut se woh pyaar karti hain

Neela: Par Neil aaj kal usska behaviour pata nahi kaisa ho gaya hai. Aisa bhi kya pyaar Neil ki Avni itnni buri tarike se behave karne lagi

  Neil was looking down he was sad.

Neil: Mai samajhta hoon aunty par

Neela: Neil sabse shocking ye tha ki avni, avni ponnu ke upar jaan chiragti thi aur jab ponnu ko vidyut pathar Marne wala tha tab avni baas worried hoke khaari thi. Mujhe laga woh vidyut ko rokegi par rokne ke liye tumhe aana para

Neil: Aunty ponnu, ponnu kaisa hai

Neela: Pata nahi Neil. Aaj kuch khaya bhi nahi ussne

Neil: Aunty Av...... Avni kaisi hai

Neela: Neil avni......... Tum abhi bhi avni ke bareme pooch rahe ho

Neil was sad but he managed to give a fake smile.

Neela: Neil sach bolo. Mujhe pata hai yeh question shayad thora awkward hai par. Kya tum Avni se pyaar

Neil was quite for sometime hearing her question.

Neil: Nahi aunty. Aisa nahi hai. Woh. Woh ek aachi larki hai aunty. Mai chahta hoon woh jaha bhi rahe khush rahe. Baas

Neela was looking at Neil. He somehow managed to put a smile on his face.

Neela: Aacha Neil toh kal Avni ki sangeet hai. Aagar tum usse naraz nahi ho toh aajana

Neil: Mai nahi aa paunga aunty

Neela: Par

Neil: Aunty I am really sorry. Par mai nahi aa paunga. Please

Neela: Neil tum Avni

Neil: Aunty. Mai, mai nahi aa paunga aunty. Nahi aa paunga

Neela didn't force Neil anymore. She said bye and left. As soon as Neela left. Neil sat on the chair. He moves his hand throw his forehead. He closes his eyes.

Neil: Sorry aunty. Par yeh hum dono ke liye hi aacha hai ki mai Avni se door rahu. Pata nahi yeh kya hai. Jitni baar bhi mai kal ke bareme sochta hoon, mai gussa hona chahta hoon par ho nahi pata. Woh baat woh sab bhoolna chahta hoon par bhool nahi pata. Avni ko bhoolna chahta hoon par....... Nahi bhool paraha. Par aaj ke baad na mai Avni se milunga aur na woh mujhse aur yeh hum dono ke liye hi aacha hai

Neil's face was restless. His eyes had something else.

AVNEIL:Twist Wala Loveजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें