EHSAS

73 1 0
                                    

Is barasti hoai barish, chamakti hoai bijli, shoor machate hoay hoay badal or zor zor se chalti hoai hawayn meri zaat, meri roh mein tumhari kami ko asie pura kar rahi hayn jasay is toofaan ki shakal mein tum bhi mujhe asie mehsoos kar rahe ho jasay ma tumhe

Maray Dil ki is undhair nagri mein tum mohabbat ka diya le kar is umeed se utre ho k loh se loh jalti hai. Mana k badle mein tum bhi mujhse sirf mohabbat ki umeed rakhte ho, ye bhi mana ke tum galat nahi bus ek viraane mein roshni karna chate ho.... Lakin pta hai kiya, is Ghar ka aangan kabhi khil nahi sakta, pta hai q, q ke is rah se kuch toofaan asie guzre jisne Ghar to kiya puri ki puri buniyadyn noch ke kahin door phenk dyn.

MANZILWhere stories live. Discover now