13

7.5K 339 88
                                    

Shiv POV:

"Tum nahi khaogi ?"

"Maine kha liya hai."

I looked at the wall clock 9:15 am....Comeon Kaya isse pahle tumne kab khaaya hoga just because mere saath na khaana pade you are again lying...

She was about to place another sandwich on my plate when I stood up and she stopped midway but never looked at me. I took the one sandwich which was lying on my plate
"Bas...hogaya mera."I said harshly and dared to give one look to her jise dekhte hi usne fauran apni nazre pher li.

I angrily stomped from breakfast table and came to my bedroom. Agar abhi pahle waala scenario hota to zaroor Kaya mere peeche aati, maine sahi se breakfast kyun nahi kara poochti, meri fikra karti par ye...ya yun kahoon ab wo din kahan rahe.

Ab wali Kaya to meri taraf dekhna bhi nahi chahti to meri parwaah karna aur dikhana to door ki baat hai. Kabhi kabhi sochta hoon ki kya wakai mein aisa ho sakta hai koi insaan itne kam samay mein itna jaada kaise badal sakta hai, kya wakai mein ab wo mere baare mein bilkul bhi nahi sochti.

Aaj se ek dedh mahina pahle mujhe lagta tha ki mai aur Kaya ek doosre par bilkul bhi dependent nahi the, aakhir baat hi kitni hoti thi humari. Par ab dekhta hoon to lagta hai hum jaise bhi the bahut behtar the. Pahle saath khaate peete the, tv ya movie dekhte the, Ansh ke saath time bitaate the, in sab ke beech ek doosre ke saath hi to hote the.

Par ab....ab she hardly talks to me. Jab tak Ansh ya bahut zaroori koi kaam na ho Kaya poori tarah mujhe avoid karti hai. Na wo mere saath breakfast karti hai na hi dinner. Yahan tak pahle kabhi bhi mai late aata tha raat ko to bhale wo mere saath khaaye na par hamesha jagi milti thi starting mein to mai jhunjhala jaata tha ki kyun apni neend disturb karti hai par us par koi asar nahi hota tha baad mein maine bhi haar maan li.

Ab....ab agar kisi raat mai late aaon to mera intezaar karne wala koi nahi hota hai. Ek microwave plate pe mera khaana dhaka hua hamesha milta hai. Kitni baat to purposely maine wo khaana nahi khaaya is umeed mein ki Kaya mujhse agle din kuch pooche  shayad ki maine kyun nahi khaya ? wagairah wagairah....par kabhi bhi usne kuch nahi poocha.

Maine kabhi nahi soch tha ki uski choti choti baatein mujhe is kadar pareshaan kar sakti hain. Jitna mai use miss kar raha hoon kya uska 1% bhi wo mujhe miss karti hogi. Bina meri knowledge usne meri life mein is tarah se apni jagah bana li hai, kya mai bhi usi tarah kahin bhi uski zindagi mein shaamil hoon.

It has been more than like one month or so and she is maintaining proper distance from me, not talking to me. Mujhe sach mein nahi laga tha ki wo itne time tak sach mein aise gussa rahegi mujhse.

Abhi haal hi mein Niti left her job. She has decided to go with further studies and do her MD isliye she has gone back to Pushkar for her coaching classes. Atleast jab tak wo thi cheeze thodi behtar thi, Kaya kam se kam mere kamre mein to rehti thi but the day I came back after dropping Niti at airport Kaya apni har ek cheez ke saath mere kamre se jaa chuki thi. Meri himmat hi nahi hui ki mai usse kuch pooch paun..it was like an unsaid agreement between us ki jab bhi koi meri family se aa jaata hai to she stays with me in my room otherwise back to her room.

I frustratingly kicked at my bed...then smiled... recalling her words. Jab isne last time mujhse baat kari thi I said to her ki mai lifetime usse kitna sharminda hoon apni galtiyon ke liye proof karunga aur isne kaise haste hue kaha tha ki ye kitna illogical hai...ab apna frustration dekhta hoon to lagta hai shayad wo sach bol rahi thi...ya nahi....mai abhi se hi itna irritate hone laga hoon is poori situation ko lekar.  Kitna samajhne lagi hai wo mujhe......but No Shiv No is baar araam se kaam lena hai.....apne gusse ko haavi nahi hone dena hai..

Being Your Second Wife (SLOW UPDATES)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें