Chap 1

237 10 10
                                    

Kabhi khud ko meri jaga par rak
Tuj ko tars na aye to chor jaana😭

Surkh aankoon k saat wo hospital ki rahdaari me taiz taiz aagey barh raha tha.Rahdaari ka morh murhtey hue use apne saamney aik haseen larki nazar ai jo roty hue rahdaari k chakkar laga rahi thi.
Lelumah ko wo larka apni taraf aata dekai diya to us ki aankoon me gussa r gham saaf nazar aaney lage
Use dekte hue wo us par baras parhi
-Aap kese itna late asakte hain kya aap ko koi fikar nahi k kisi ka pyaara zibdagi r mout k darmyaan hai
Zawezaan ne us par aik dukh barhi nazar daali r kaha
-Sorry wo muje aik zaruri kaam tha aap fikar na karey aap ka pyaara theek hojaega Allah par yakeen rakey
-Aap ka kaam kya kisi ki zindagi se bhi zyada zaruri tha kya nahi na to pir..
Lelumah apne hosh o hawaas me nahi thi apne jaan se zyada azeez dada ko is halat me dek kar us k osaan khata ho gae the
-Aap itminaan rakiye sub theek hojaega
Zawezaan ne hamdardi barey lehje me kaha
-Agar aap ka koi pyaara yaha operation treater me mere dada ki jaga hota to tab aap kya kartey huh
-Hum khaak se baney hai r humein khaak me hi lot k jaana hai bs aap sabar karein r Allah par barosa rakey
Zawezaan ne aik udaas muskurahat k saat kaha wo Lelumah se zyaada apne aap ko tasalli de raha tha
Leelumah uskey baatoon ki gehrai ne koh kar wahi karhi reh gai r Zawezaan use chorh kar operation treater me chala gaya
Lelumah apne aansoo saaf kartey hue wahi bench par jaa kar beeth gai r gutnoo ne apne sar rak kar pir se roney lagi
3 gentey baad operation treater ki laal light band hui r Zawezaan darwaaza kol kar bahir aagaya uske laboon par aik naram si muskaan thi jis ke liye wo mashahoor tha.
Lelumah ko bench par bethey dekh kar wo uske qareeb gaya r apne makhsoos naram andaaz me kaha..
-Mubarak ho aap k dada ap khatrey s bahir hai shayad Allah ne aap ki dua sunli hai
Ye kehte hue wo rahdaari me aagey barh gaya k achanak us ne apne pichey se aik nuswaani awaaz suni
-Doctor me dada se...

Uski baat uske moo ne hi reh gai k Zawezaan ne jaldi se kaha
-Is k mutallik aap sister(nurse) se baat kar lein wo aap ko bata de gi
R ye kehte hue wo rahdaari me aagey barh gaya r leumah ki aankon se ojal hogaya.
-Kitna ajeeb aadmi hai baat to kar leta..
Lelumah ko apne piche se kisi ki awaaz sunai di r wo us ki taraf murh gai deka to aik nurse khaamoshi se karhi roo rahi thi ye dekh kar Lelumah gabra gai r uske qareeb chal k kaha..
-Mere dada theek to hain na
-G aap k dada blkl theek hai bs torhi der me unhe room me shift kar diya jaega..
Ye keh kar nurse aagey barh gai k Lelumah ne use awaaz di r wo ruk gai..
-Kya aap muje bata sakti hai k ye Mr itni jaldi me kyun the ?
-G inhe apne azeez r bhai jese dost ki tadfeen me jaana ta jo aaj kisi hadsey ki waja se intikaal kar gae aap k dada ki waja se unhe tadfeen chorh kar ana parha tha is liye doctor sahab jaldi me they..
Ye keh kar nurse aagey barh gai
Lelumah ko apne talkh alfaazo ki sachai ka maloom hua r wo bohat zyaada sharminda hui..
Lelumah inhi sochon me ghark thi k apne peechey kisi ki awaaz suni..
.
.
.......................................................
Ghazal drawing room me bethi tv dekh rahi thi k darwaazy par bell ki awaaz sunai d..
Wo uthi r darwaazey ki taraf chaldi ..Darwaaza kol kar dekha to shafi sahab apna bag taamey karhe they
-Assalamualikum baba aap itni jaldi kese agae aap ko to iak hafte baad aana tha na..
Apne baba ko yu achanak dekh kar uski baatoon ki machine start ho gai thi kyunkey baba r bhai k elawa r koi is k sunta hi kaha tha
-walaikum Asalam beta wo Kamran sahab k Abba ka accident hogaya tha is liye unhe jaldi ana parah r unki bethi bhi akeli thi
Shafi sahab ne apni bethi ko pyaar karte hue kaha..
-Acha aap andar to aye na me aap k liye chai laati hun..
Ye keh kar ghazal kitchen ki taraf chali gai
-Ghazal tumhari mama r bhai kidar
hain?
Shafi sahab ne poocha
-Baba mama bhai k dost ke ghar gai hai unka intekaal ho gaya hai..
Ghazal ne afsoos barey lehje me kaha
-Acha konse dost ka?
-Haadi bhai ka wo accident hogaya tha unka bhi
Ye sun kar Shafi sahab bohat khafa hue kyunke haadi r arsal unko zawezaan ki tarah azeez they in teeno dosto ki aik dosre me jaan basti thi..
Magar Allah k kiye me kab kisi ne dakhalandaazi ki hai jo hota hai usi me behtari hoti hai.
.
.
.
.............................................
Saarim..
Zawezaan ne haadi k chotey bhai saarim ko awaaz di jo kail raha tha kyunkey is umer me ose kuch pata nahi tha ke uska bhia use chorh k chala gaya hai..
-G Zaawi bhai koi kaam
-Haan tum jaa k meri mama ko bulao r unhe kaho k Zaawi bhai keh rahe hai jaldi se ajae humain ghar jaana hai
-G abhi kehta hun..
R saarim waha se chala gaya
Zawezaan haadi ki soch me ghum tha k arsal ne use awaaz di
-Haa bolo kya kehna hai
Us ne kaha us k andaaz se saaf zaahir ho raha tha k wo bohat thaka hua hai
-Zaawi jaa k torha araam karlo tumhari neend bhi poori nahi hui
Arsal ne us key kandey pe haat raktey hue kaha
-Kyaa hum haadi ko kabhi bhool paeinge arsal?
Use khud nahi pata tha k us ne kyun poocha magar uskey mooo se nikal chuka tha
-Koi bhi saans lena nahi boolta Zawii lekin marey hue k saat mara nahi jaata balke unko yaad karke apne dilon me unki izzat barhai jaati hai.
Arsal ne apne ankon k kono ko saaf karte hue kaha r Zawezaan k galey lag gaya..
Arsal Zawezaan r Hadeed bachpan se aik saat they Zawezaan surgeon ban gaya Hadeed army ne tha r Arsal accountant tha ..
Teeno ne apni pasandeeda feild choose ki thi
Zawezaan ko apne peechey se apni ammi ki awaaz sunai di
-Zaawi betha chaley?
Shababa begum ne kaha
-G mama
Zawezaan ye keh kar apni ammi k hamrah haadi k ghar se nikal kar apne ghar ki taraf rawaana ho gaye..
Poora rasta doono me se kisi ne koi baat nahi ki thi..
.
.
.
.............................................
So guys kesa laga aap ko first chap
Ye meri first story hai so plz muje bataein k kesa hai ye chap zarur comment karein apne doston k saat share karey r plz vote karein
Muje aap k comments ka betaabi se intezaar rahe ga
Agara aap ko kahi se ye chap bore laga ho to me batati chaloo saari story aisi nahi hai😂😂
So plz vote share and comment farz hai😘🤗😀

KHIZA MAIN PHOOLTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon