chap 3

97 9 0
                                    

     Hum jaan se jaengey tabhi koi baat  baat bane gi....
     Tum se to koi raah nikali nahi jaati💓
----------------------------------------------------------
Wo apne patients ka round lekar jese hi ward se bahir nikla use apne pichey se aik jaani pehchani naswaani awaaz sunai di...

Usne peechey murh kar dekha to lelumah karhi thi..
Wo us ke qareeb gaya r kaha..
-G kya bolna tha aapko
-G wo muje aap ko sorry karna tha..
Lelmah ne nazrein jukai use kaha
-G kis cheez ka sorry..
Zawezaan uski baat par torha heraan hua k aesa kya hua hai k ye sorry karne ai hai isi liye heraani se kaha..
-Wo kal mene aap se kuch zyada hi batameezi kar di thi jiski waja se me bohat sharminda hun..
Lelumah ne nazrein jukai use kaha
-Nahi its ok aesi koi baat nahi hai,aap pareshaan thi r pareshaani me ache bale logo ki aesi halat ho jaati hai..aap to pir aap hai..
Zawezaan ne muskurahat dabatey hue kaha r waha se chala gaya
Lelumah uski baat par sochnai lagi r jab samaj aya to us ka chehra ghusse se laal hogay
-huh ajeeb admi...
Wo mun me barh barhai

-----------------------------------------------------------
Black colour ki prado se nikal kar wo samne aik barhi imarat me dakhil hua   samne se use apni taraf aik larki apni taraf barhti hui nazar aye use dekh kar is k chehrey par aik dilkash muskurahat agai..Larki ne aghey barh kar usey salam kiya r us ka hat pakarh kar dubara apni seat ki taraf barhney lagi.
-Yaar kya zarurat thi seat se uth kar aane ki me to wahi araha tha na..
Arham ne uaki taraf muskurate hue kaha
-Waah bala ye kya baat hui mera dil kiya me uth kar agai..
Sara ne moo basorte hue kaha
Arham ne uski taraf dekha r halka sa muskuraya
Wo dono apni seats par beth gae they
-Haan to Arham tum ne muje yahan kyu bolaya hai..
Sara ne masoomiyat se poocha.Wo bohat khubsurat nahi thi magar pir bhi uske chehre par aik ajeeb si kashish thi jo sab ko apni taraf mutawaja karti thi ya srf Arham ko mutawaja karti thi ,par jo bhi tha use apne aap par bohat naaz tha pata nahi kis ka pese ka ye uske samne bete is haseen shakhs ki muhabbat hone ka..
Arham ne sara ki taraf dekha r kaha
-Pehle kuch order kar lein baate to hoti rehengi..
Arham aik kush shakal r ameer insan tha r use sara se be intaha muhabbat thi...
-Hmm
Sara ne bs itna hi kehne par iktifa kiya..
Sara order karne k baat sara ne aik baar pir apna sawal dohraya..
Arham ne uski taraf dekha r kuch sochne laga k jis baat keliye use yaha par bulaya tha wo kare ya na kare .Wo uska mood kharab nahi karna chahta tha magar baat bhi zaroori thi..
-Sara wo meri shadi....
Wo bolne hi wala tha k sara ki ankein herat se barhi hogai r wo us par pat parhi..
-Ye kya bakwaas kar rahe ho Arham pehle mangni r ab shaadi tum to keh rahe they k aesa kuch nahi hoga tum ye mangni bhi jaldi torh doge lekin yaha par to shaadi k planning ho rahi hai....
Ghusse se uska chera laal hogaya tha .Arham ko maloom tha k ye baat sunne k baad uska reaction kya hoga isi liye wo use mamle k sangeenyat ka andaza laga raha thaa...
-Meri baat suno dada jan ne abhi srf apni khwahish zahir ki hai r jab thak me esa nahi chahoonga esa kuch nahi hoga..cntrol karo apne aap ko
Arham ne use tasalli dete hue kaha
-Huh control kese control kru pehle bhi tumhare dada jaan ne mangni ki khwahish zahir ki r tum ne khushi kushi kabool bhi kar li thi r ab ye ..Aakhir tum muje samajte kya ho bs itni muhabbat hai muj se k kabhi bhi muje chorh k jasakte ho..Tumhari muhabbat esi hogi lekin mene tum se sachi muhabbat ki hai Arham sachi muhabbat..
Wese to sara bohat mazboot lehje me bol rahi thi magar akhir me uski awaaz bara gai r aik andoo uski ankh se behta hua rukhsara par gira..
Arham ne tarhap kar apni ungliyoo k poroo se uski ansoo saaf kiye r use apni muhabbat ka ehsaas dilane laga..
-Sara roo to mat na tumhe to pata hai muje kitni takleef hoti hai jab tum rati ho r kya tumhe mere muhabbat par shak hi kya?
Sara kuch bolne hi waali thi k Arham k mobile tune ne use khamosh rehne par majboor kardiya..
Arham ne bebasi se uski taraf dekha r aik minute ka ishara kar k call receive kar k waha se uth gaya..
Mobile par lelumah calling jagmaga raha tha..
-Haan kya baat hai..
Arham ne tashwish barey lehjay me poocha kyunke lelumah use kabhi kabhi call karti thi jab koi zaroori kaam hota tab..
-Wo dada jan ka kal accident hogaya tha...
Dosri side se  baat shuru hi ki thi k bech me kamran ne baat kat di..
-Kyaaa??r tum muje ab bata rahi ho..batao kahan par hai wo me abhi ata hun tum se to wese bhi kuch nahi hota..
Arham ne ghusse se bari awaaz me kaha...
-Wo ab theek hai me kal akeli thi to is liye muj se bhool gaya thaa
Lelumah ne kichkichate hue kaha
-Acha bs me araha hun muje hospital ka naam sms kardo...
Lelumah ki baat sune baghair us ne apni baat mukamal kar k call disconnect kar di....
Arham jaldi se apni table ki taraf aya to waha par koi nahi tha iska matlba tha k sara waha se ja chuki thi..
Usne table par aik mukka raseed kiya r bil table par chor kar waha se nikal gaya..
-*-*-*-*-**-*-*-**-*-**-*-*-*-*-**-*-*-*-**
Lelumah ne bebasi se mobile screen ki taraf deka r sochaa
"Kya ye mere liye best choice hai?"
Pir usne jaldi se in fazool socho ko apni dimagh se jathak fiya r kisi ka number dial jarne lagi..
-Assalamualaikum kaha par ho..
Dusri taraf se call uta li gayi thi isi liye usne apni baat ka aghaz kiya..
-Yaar abhi university se ghar wapis ja rahi hun..R haan aaj tum kyun nahi aye thi
Zarafsha ko yaad aane par usne ye bhi pooch liya kyunke esa koi din na hota tha jab koi aik university jata r dusra nahi esa pehli baar hua thaa..
-Zari me bohat upset hun dada jan ka accident hogaya tha isi liye me abhi hospital me hun..
Lekin abhi wo blkl theek hai Alhumdulillah..
Lelumah ne jaldi se dada jan ki khairyat k bare me bhi bata diya tha kyunke use pata tha zari dada jan k mamle me kitni hasaas hai
-Allah mahi tum muje ab bata rahi ho me tumhe zinda nahi chorungi larki..
R haan muje hospital ka naam snd kar do me abhi arahi hun..
Zarafsha ne kaha...
-Nahi yaar zari tum thaki hogi araam karlo pir baad me ajaogi..
Lelumah ne use araam karne k liye rokbey ki aik nakaam koshish ki...
-Muje mat batao kya karna hai..
R ye kehte hue usne jaldi se call cut kardi
-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×-×
Wo parking ki taraf barhta hua musalsal phone par kisi se baat kar raha tha...
-Haan to tum muje batao tum kahan par ho me wajin par ajaoga ya tu esa kar mere ghar ajao..
-Zaawi tum muje pick karlo pir tumhe plan batata hun kidar jana hai..
Arsal nu use kaha to usne call cut kardi..
-Zaawi bhai..
Zawezan ko samne se zarafsha ati hui dekai d to usne muskura kar uski taraf dekha wo isi ki taraf arahi thi..
-Kya kar rahi ho idar tumhare baba to clinic me hai na..
Zawezaan ne usse yahan hospital ane ki waja poochi..
-Wo me baba se milne to blkl nahi aye
Meri frnd k dada jan ki tabyat nasaaz hai bs unki ayadat keliye aye thi..
Zarafsha ne use waja batai..
-Acha to pir tum andar chalo me to jaraha hun mera duty tym khatam hogaya hai..
Wo ye keh kar agey barh gaya pir kuch yaad ate hue use dubara awaaz di..
-Zarii
-G bhai
Zarafsha ne nasamji se uski taraf dekha..
-Allah Hafiz.
Zawezaan ne muskura kar use alwida kaha..
------'---------------------------------------------------

Kamu telah mencapai bab terakhir yang dipublikasikan.

⏰ Terakhir diperbarui: Jul 17, 2018 ⏰

Tambahkan cerita ini ke Perpustakaan untuk mendapatkan notifikasi saat ada bab baru!

KHIZA MAIN PHOOLTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang