Meri takmeel me shamil hai kuch tere hise...
Hum agar tuj se na miltey to
Adoorey rehty❤💕Wo apni sochon me ghark thi k use apne peechey se kisi ki awaaz sunai di r wo is awaaz ko bakhubi jaanti thi.Wo jaldi se murhi r dekha k Kamran sheikh sahab r Rukhsana begum ko karhey paya.
-Mama baba aap..
Lelumah unhe dekh kar jaldi se un ki taraf barh gai..
-Baba aap logon ko itni der kese hogai me bohat pareshan hogai thi..
Lelumah apne baba k gale lag gai r roty hue un se kaha.
-Bs beta hosla rako hum agai hain na r dada bhi Alhamduliillah theek hogai..
Kamran shahab ne apni beeti k baalon me haat perte hue tasalli di.
Aik side par karhi Rukhsana begum aik udaas muskurahat k saat apni beti r sohar ko dekh rahi thi.Sahil k baad kamran sahab k paas srf lelumah bachi thi r wo ise kona nahi chahtey the.
Sahil lelumah ka bhai tha jo paanch saal pehle aik hadsai me inhey chor k chala gaya tha ..
................................................
Darwaze par bell ki awaz sun kar Ghazal drwaza kolne keliye gai.
Darwaza kol k dekha to uski mama karhi thi us ne jaldi se unhe salam kiya r shabana begum ne nihayat shaistagi se salam ka jawaab diya.
-Mama bhia kidar hai?
Ghazal ne fikar mandi se apni maa se poocha.
-Wo garhi park kar k aata hai..
Shabana begum ye keh kar aagey baarh gai.Torhi der baad usi darwazey se zawi ghar k andar daakhil hua r seeda apne kamre may chala gaya..
Wo is waqt intehai iztaraab k alam ne tha use araam ki zarurat thi..
Apne kamre me aakey us ne apne haat se gharhi utaar kar singaar meiz par rakhi r apne bister ki taraf chala gaya.
Use is waqt araam ki zarurat thi.
2o apne bed par lait kar chat ko dekney laga r kahin soch me gum ho gaya...Wo teeno drawing room k aik barhey se sofai par bethy gup shup me masroof the.
Haadi kuch din pehle hi chutyoo pe aya tha.R ab teeno dost mil kar enjoy kar rahein thein r saath me hi arsal ki guftogu bhi sun rahy the.-Yaar me keh raha hun na mera baap muje apna betha samajta hi nahi hai muje to kabhi kabhi lagta hai ka me in ka betha hun hi nahi.Kyunkey me un se zyaada handsome hun r kam az kam un ki tarah be his to blkl bhi nahi hun..
Zawi r haadi is ki bathein aik naram muskurahat k saat sun rahy the k Zaawi ne kaha
-Nahi yaar tu gham na kaar tu apne baap ka hi betha hai agar kuch nahi to aik cheez to common hai yum dono me gusse k barhey thez ho,saamney wale ki sunthe hi nahi ho..
Ye keh kar Zaawi r Haadi ne aik dusre k haat par haat mara r hasnein lage..
Ye kartey hue Arsal inhe aise ghoor raha tha k abhi kacha chaba jae ga.
Lekin kya tha apne bhaiyoo se barh kar pyaar karta tha in dono se..Zaawi inhi socho me ghum tha k use pata hi nahi chala kab us ki aankh lag gai.
......................................................................
Wo apne bed par ondey moo lethi khila me kahi ghum kuch soch rahi thi..
Use Zawezaan ke liye bohat boora feel horaha tha..-Me us se sorry bol doongi umeed hai wo muje maaf kar deinga.
Ya nahi bs chorh doon kya pata wo sab khuch bhool gaya ho.
Yaar jo bhi hai muje sakoon kyun nahi mil rahaaa ,jab thak me use sorry na boldu mera yahi haal rehna hai .
Lekin sorry bolongi kese muje to experience hi nahi hai.Yaar lelumah kya fazool soch rahi ho is me kya itni barhi baat hai.Wo apne aap se mukhatib thi r apne hi sawaalo ki nafi me jawaab de rahi thi..
Use kuch na kuch kar kein zaawi se milna tha take wo apne dil ko sakoon d use apne kahe gai aik aik lafz yaad they.Use apne aap par barha gussa araha tha lekin kya karti ab apna sar to nahi porh sakhti na.........................................................................
Subah taqreeban 7 bajay us ki aank koli thi wo itni gehri neend soya tha k use pata bhi nahi chala k bahir se darwaazy par koi dastak d raha hai wo jaldi se utha r darwaaza kola dekha to bahir ghazal karhi thi..
-Bhai jaldi karey na aap abhi thak uthe bhi nahi they muje colg se der ho rahi hai..-Acha tum jao me jaldi se change kar k ata hun..
Ye keh kar us ne ghazal k peechay darwaaza band kar diya r khud washroom me nahany chala gay..
Jab wo fresh hokar nikla to us ki nazar samne dewaar pa lagi gharhi par parhi us ne jaldi jaldi apne haat hila kar saare kaam nibtae baalon ko brush k saat sahi kiya r kamre se bahir nikal ayaa..Dinning table par sab nashte k liye mojood the r isi ka intezaar kar rahy thay..
Table par bethtey hue us ne sab ko mushtariqa salam kiya r sab ne us k salam ka jawaab diya.Shafi sahib newspaper parh rahy they r ghazal apne kuch notes dekh rahi thi..
-Zaawi wo kamran k walid sahib hospital me admit hai unhe bhi zara dekh lena sahi hai..
Shafi sahib ne baat ka aghaaz kiya tha-G baba.. zaawi ne itna hi kehne par iktifa kiya zyaada neend ki wajah se uski ankein dukh rahi thi
Nashta karnein k baad zaawi ghazal ko lekar ghar se nikal gae thori der baad shafi sahib bhi office keliye nikal gae
........................................................................
Ghazal khu colg chorh kar wo hospital chala aya,car park karnein k baad hospital me dakhil hua r seeda surgical A ward ki taraf apne beds check karne k liye chala gaya..
Apne saare beds ki round lene k baad ab use kamran uncle ke walid ki ayadat ke liye jaana tha..Sheikh zubair jo k kamran sahib k walid rmthe unko ab thak private room me shift kar diya gaya tha..
Zaawi umkey room dakhil hua r kamran sahib r unki begum se salam dwa karne k baad inki medical file uth kar uska muaina karne laga..Usi waqt use pata laga k ye wahi shakhs hai jis ka isne operation kiya tha kamran sahib ko pata chala to wo iska shukriya karte hue nahi thak rahy they..-Are uncle kya hai mera farz tha inki jaan bachana r kuch Allah ka karam tha aap muje sharminda kar rahy hai baar baar mera shukriya ada karte hue..
Usne muskura kar kamran sahib ko kahaUsi waqt kamre me koi dakhil hua Zaawi ne darwaaze ki taraf dekha to use apni nazar hatana mushkil laga.Lelumah grey plan shirt r saat pe red dupata ache se sar par liye bohat khubsurat lag rahi thi 2 din pehle zaawi ne uski khubsurti par itna ghoor nahi kiya tha .Uske chehrey me uski ankein bohat hi khubsurat thi use dekh kar saaf pata chal jaata k ye pathan hai uski boori aankein kisi ko bhi usme jaankney pe majboor kar sakti thi.Beikhtyar uske zehan me aik sher goonja..
Tum samandar ki baat kartey ho..
Hum to aankon me doob jaatey hai💓-Zaawi beta ye meri beti hai Lelumah..
R lelumah ye tumhare shafi uncle k betai hai zawezaan..Kamran sahib ki awaz par wo apne socho se bahir nikla r lelumah ko muskura kar salam kiya lelumah ne bhi muskurah kar jawaab diya r dorh kar zubair sahib k bed par dachkey se beth gai..
-Lelumah inhe disturb mat karo abhi in ka zakham taza hai..
Zawi ye keh kar room se bahir mikal gaya
-Huh ajeeb admi..
Lelumah moo me barh barhai
.......................................................................
Saahil kamran sahib ka iklotha beta r lelumah ka ladla r chota bhai tha jo paanch saal pehle aik hadse me wafaat ho gaya tha r lelumah apne aap ko is sab ka zimiwaar samajthi thiHar kisi ki zindagi me aik siyaah baab zaroor hota hai jo wo kisi ko nahi bata aese hi lelumaah ki zindagi ka ye siyaah baab iska peecha nahi chorta tha ya ye kwh lijiye ye iska peecha chorana hi nahi chahti thi..
......................................................................
Ye raha 2nd chap..
To kese laga aap ko ye chap umeed hai aap bore nahi hue honge is chap ko parh kar..
Plz apne kimti votes mese muje bhi hisa de r comments k zarye muje bataye k aap ko kesa laga chap..
Baaki agar koi ghalti hui ho to zarir bataye ga taakey me us ghali ko sudaar sakoon..
Next chap InshAllah jaldi upload karoongi..
Till then stay bless and Allah Hafiz😚