*college classroom
Sameer class me mundit ke saath baitha hota hai Aur aaj woh Naina ko chida nhi RHA hota hai baar baar usse dekh raha hota hai
Munna- Bhai aaj hua Kya hai tujhe wese to tu naina ko ek minute Shanti see nhi rehne deta Aur aaj
Pandit- haan Kya baat hai
Sameer- arre Kuch nhi mujhe Kya Lena Dena is boring ladki see me toh apne kaam see kaam rakhta hu
Samundit Naina Aur raunak ke pass wali row me baithe hote hai
Aur unki baate bhi saaf sunai deti hai
Naina- raunak woh Kal k liye ek baar fir se sorry
Raunak- arre kaha.naa mene koi baaat nhi galti see hogya tha .....umm yeh Wala question thoda difficult hai
Naina- dikhana konsa ques hai.....arre yeh toh bahut easy hai
Raunak- wah tumne toh Isse kitni jaldi solve Kar Diya thank u...Kya hum dost ban sakte hai.....Aur raunak apna haath aage badhata hai
Naina serious hojaati haiaur thoda soch me padh jaati hai
Raunak- Woh me samajh skata hu ek ladka ladki dost hote hai toh Saab Kya sochte hai...par me Sachi dosti kaa haath badha RHA hu
Naina thoda jhijhakti hai par uski friendship accept Kar leti hai
Sameer( loudly)- dekha pandit badi friendships ho rhi hai aajkal......
Sameer tej bolata hai Jisse aaspass ke log bhi sun let hai
Naina Sameer ki taraf ghoor Kar dekhti hai
Naina- yeh kabhi nhi sudhrega.... badtameez
Raunak- Ise tumse itni problem kyun hai Matlab tumne Kya bigada iska....hamesha tumhe chidata rehta hai
Naina - bahut lambi kahani hai fir kabhi
Tabhi JBr class me aata hai Aur lecture shuru karta hai
JBR - arre wah aaj class ke dono toppers ek saath very good aur Bhi man laga Kar padhna
Sameer ko yeh sun kar acha nhi lagta
Aur bekar se expressions deta haiKuch der lecture ke baad class khatam hojati hai Aur jbr Chala jaata hai sab Aur Saab uth Kar jaa rhe hai tabhi...
Raunak- are Naina ..red rose chalogi....Kuch kha Kar aate hai
Sameer bhi jaa rha hota hai par dono ki baate sun ke ruk jaata hai
Naina ( Sameer ko dekhte hue)- Dekho raunak hum dost hai par Kuch ghatiya dimag wale log Kuch Aur sochte hai Aur mazak banate hai tum saamjh rhe ho me Kya keh rhi hu
Raunak- it's ok no problem me chalata hu byee
Naina- bye
Aur Naina apni books bag me rakh Kar jaahi rhi hoti hai
Sameer samjh jaata hai ki Naina uski taraf hi dekh kar Uske baare me hi bol rhi thi
Sameer ( angry)- Kya kaha tumne mujhe ghatiya soch ka insaan
Naina- ek min ..mene tumhara naam liya kya...Aur wese bhi tum ho hi ghatiya.... hamesha dusro ko pareshan karne wale Aur unke maamlo me tang adane wale
Sameer- acha kal toh Kuch nhi bol rhi thi ..."Sameer tum bhi chal skte ho mere saath mujhe darr lag rha hai" wah kitni matlabi ho
Naina- hato yahan see...
Sameer- wese galat Kya kaha mene ..... ruanak ko friend bana liya hai yaaa fir boyfriend....
Naina( miffed and anger)- ..chi kitni gandi soch hai tumhari.... apni had me rehna tum Roz mujhe pareshan karte ho fir bhi me Kuch nhi kehti ....par ab tum had paar kar rahe ho kisi ladki see baat karne ki tameez nhi hai tumme..... ab Tak toh me sochti thi ke bahle hi tum mujhe bahut pareshan karte ho par sochti thi itne burre bhi nhi ho par ab yakeen hua ki tum bigdail hone ke saath saath ek ghatiya insaan ho....Aur haan meri Marzi me kisiko bhi apna dost banau yaa naa banauu tumhe usse Kya pareshani hai
![](https://img.wattpad.com/cover/155285820-288-k90797.jpg)
YOU ARE READING
Yeh Pyar Nhi Aasan
FanfictionAll characters are same but the story is quite different from serial .Naina Sameer were classmate in pvkm school and now in same collage