Betanasha mohabat ho gayi thi mujhe usse,
Uske aansu bhi na dekhe jate the mujhse.
Use khush rakhne keliye mai duniya se tha lad sakta,
Par vo kash, kash mere pyaar ko samajh sakta.
Akhir usme uska bhi toh koi kasoor nahi tha,
Mai uske zindagi me bas ek aur ladka hi toh tha.
Labzon par mere zikr ae ishq mana tha,
Mai tha uska dost, shayad kismat me mere bas itna hi likha tha.
आप पढ़ रहे हैं
Shayar ka khwab
Poezja"Poems are to soul what music is to the heart" -unknown Some passing through which were penned down.