Part : 2 The happiness
Sorry so sorry guys,
I know almost 10 days ho gye last update ko, but kya karu yar thoda busy tha aur demotivated bi,
Busy islie ki offifce mai kaam jyada tha aur demotivated is story pe mile response ko dekhke,
Ye bilkul waisa nhi tha jaise maine socha tha. 50 likes in 10 days 😂😂😂
But koi na jarur kuch kami hogi, so please koi kami ho to bata diya karo. Mai dil pe nhi lunga 😆
Aur ab jyada lecture na dete hue sidha aate hai hamari story peVishakha aur sanjeev ne us nanhi si jaan ko apne hantho mai le rakha tha, aur us samay wo ek bilkul hi naye anubhav ko mehsus kar rahe the.
Abhubav maa baap banne ka, kyunki ek vayakti yu to apni zindagi mai kai rishte nibhata hai.
Ek beta hona ka, ek bhai hone ka, ek husband hone ka, par sach puchiye to uska jeevan tab hi safal hota hai jab wo ek pita banta hai.But this beautiful moment was disturb by the new member.
Kyunki wo golu molu sa bacha zor zor se rone lagta hai..👶😭
Sanjeev : are are kya hua mere raja beta ko, bas bas bas chup ho jao, kya hua aapko...
He tries his best to confort the littile bundle of joy. But the boy doesn't stop and keep crying....
Aur usko rota hua dekh sanjeev ke aankhe bi nam ho jati hai.
Sanjeev(worried) : vishakha dekho na ye chup hi nhi ho rha, kya hua hai isko kahi isko dard to nhi ho rha na, ya.... Ya maine isko galt tarike se to nhi pakad rakha na.
Vishakah : sanjeev ji aap khamka tension le rhe hai. Bache to rote hi hai na ab wo hamari tarh bol to nhi skte na. Jarur isko bhukh lagi hogi, laiye isko mjhe dijiye.
Narrator : kehte hai ki maa ko apne bache ke bare mai sab kuch pata hota hai, ki kab unhe kya chahie, ya kab unhe bhuk lagti hai.....
Par hmare nanhe shaitan ke bare mai hm aisa nhi keh sakte.....Vishakha : are ye to mjhse bi chup nhi ho rha, kya hua hai mere raja beta ko haan, bhuki bi nhi lagi hai aapko,
Sanjeev : kya kar rhi ho vishaka ye chup kyu nhi rha, roye hi ja rha hai, mjhse iska rona aur nhi dekha jayega.
Mai doctor ko bula ke lata hoo.He goes to open the door But before that door opens and nanu comes into the room after listening his grandson crying..
Nanu : are vishakha kya hua, ye ro kyu raha hai itni der se.
Vishakha : dekhiye na papa, kab se ro raha hai shant hi nhi ho rha... Pata nhi kya hua hai isko.Nanu : acha lao zara mjhe do mere pota, dekhu to kya chahie hmare rajkumar ko,
Fir nanu us bache ko apni godh mai le lete hai. Aur nanu ki god mai aate hi wo natkhat shant ho jata hai. Jaise usko na to bhook thi aur na hi koi takleef bas shayad wo apne nanu ka chehra dekhna chehta tha, wo us god mai aana chahta tha jaha kabhi uski maa thi, aur mano nanu ke hantho ki garmahat jaise us bache ko shant kar deti hai.
Vishakha : badmash !! Apne Nanu ke pass aate hi shant ho gya, aur yaha hm kitni der se ise chup karane ki koshish kar rhe the. Bhut dramebaaz hai ye.
And the small bundle of joy smiles on this, like vishakha is complimenting him
Nanu's vo : aaj bi us pal ko yaad karta hoo to aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho,
Mera sameer mere hantho mai tha. Aur mere hantho mai aate hi wo shant ho gya, jaise wo meri god ko apni maa ka anchal smjh rha ho.
Wo apne chote chote pair bar bar chala rha tha jo ki mere hantho ki hatheli pe aakar lag rhe the.
Use dekhte hi aisa laga ki mano mjhe sansar ki sari khushiya mil gyi ho, aur meri puri duniya us bache mai aakar simat gyi ho,
jaise.... Jaise mano usne aakar is bhudde ki berang zindagi mai rang bhar diye ho.
Aur.... Aur jab maine uske gaalo pe apni ungliya lagai to usne apni aankhe band kar li mano jaise wo mera sparsh (स्पर्श) pehchanne ki koshish kar rha ho.
Aur uski wo aankhe,,,,, aaj tak maine itni pyari aankhe nhi dekhi.
Ek alag hi bholapan ek alag hi sachai thi uski aankho mai.
Use yuhi dekhte dekhte mai apni puri zindagi bita skta tha.
Aur jab vishakha ne use meri god se lene lagi to pata hai kya hua wo nanha shaitan fir se rone laga, hahaha
![](https://img.wattpad.com/cover/184187398-288-k954770.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
Samaina Ff : The cursed child
FanficAaiye mere sath ek aise safar pe jaha hum sameer ki zindagi se jude kuch aise raazo se parda uthayenge jo na to hme show me dikhaye gaye aur na hi kisi ne uspe kuch likha in this story we will cover the entire journey of sameer life from birth till...