~Hai Zaroori~

19 3 0
                                    

Kabhi kabhi lage yehi
Jo hona tha hua wahi
Badalna bhi hawaaon ka
Hai zaroori..

Kabhi kabhi lage yehi
Jo milna tha mila wahi
Bikharna bhi duaon ka
Hai zaroori..

Kisi ke waaste kahan
Zameen pe aaya aasmaan
Yeh dooriyan rahi bas dooriyan

Ke chori chori chupke se chupke se rona
Hai zaroori..
Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona
Hai zaroori..

Reh gayi aarzoo ik adhuri
Ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona
Hai zaroori..

Nasamajh thhe hum
Jo yeh bhi na samjhe
Waqt aane par
Sab badalte hain

Manzilein kya hain
Aur raaste kya hain
Log pal bhar mein
Yahaan Rabb badalte hain

Kisi ke vaaste kahaan
Kinaare aaye kashtiyan
Yeh dooriyan rahi bas dooriyan

Ke chori chori chupke se chupke se rona
Hai zaroori..
Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona
Hai zaroori..

Reh gayi aarzoo ik adhuri
Ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona
Hai zaroori..

Muskurane ke kitne bahane thhe
Phir bhi aankhon ne
Kyu nami chhun li

Dil ki baatein toh
Sab aasmaani thi
Hum hi pagal thhe
Iss dil ki jo sunli

Kisi ke vaaste kahan
Mili hai raat se subah
Ke dooriyan rahi bas dooriyan

Ke chori chori chupke se chupke se rona
Hai zaroori..
Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona
Hai zaroori..

Reh gayi aarzu ik adhuri
Ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona
Hai zaroori..

-Rahi's Collection.

TaaleefWhere stories live. Discover now