Parv is now too much stressed so he went to Kitchen and saw Guddan moving here and there in kitchen
Parv: bhabhi, yeh tum kya kar rhi ho
Guddan: mujhe khana banana nahi aata...plzz meri help kar do
Parv: khana banana toh mujhe bhi nhi aata...tumhe kuch bhi banana nhi aata
Guddan think for some time
Guddan: haan mujhe kuch toh banana aata hParv: very good, Akshat toh bekar mein hi tumhari buraai kar rha tha..tumhe toh kaam aata h
Guddan(angry): kya bola Akshat ne
Parv: kuch nhi
Parv left and Guddan start working
Everybody on dining table waiting for breakfast to come....
Akshat cameAkshat: Good morning everyone
Rajat: good morning ke bachche abhi yahan office nhi jana kya...
Akshat: dad jana h na...lkin aaj hum office choti maa ke haath ke paranthe khaane ke baad jaayenge...
He hugs sangeeta
Akshat: kyu choti maa banayengi na
Sangeeta: haan haan bilkul banaungi...main abhi lekar aati hu...
Jagat: lekin aaj toh nashta bahu banayegi na
Akshat: haan toh aapki bahu kabhi aur bana degi kahan bhaagi jaa rhi h
Akshat settle on chair beside Parv
Parv: tu chinta mat kar maine sab sambhal liya h
Akshat: matlab
Parv: kuch nhi
Sangeeta came with breakfast and they all have it
Jagat: Guddan kahan h
Sangeeta: aa rhi h pata nhi kya banaya h usne aapke liye
Guddan came but Akshat has to leave to attend a call...
Guddan give the thing which she has made to everyoneGuddan: aap log pijiye main abhi aati hu
Guddan went outside in the garden where Akshat is there, He is on phone
Guddan: coffee
Akshat takes the cup , Guddan is leaving but Parv comes and fall in front of Guddan in her feet
Guddan:Are Parv abhi aashirwaad lene ki koi zaroorat nhi h
Akshat: Guddan aisa kya bana diya...ki Parv tumhare pairon mein aake gir gaya
Parv: are hat....haath de apna...pairon mein nhi gira.... phisal gaya hu
Akshat give his hand and he stands...
Parv joins his hands in front of GuddanParv: Deviji aaj ke baad kitchen mein mat jana...
Akshat: kyu aisa kya ho gaya
Parv: yeh toh tu apni biwi se pooch kya kiya h...poore india mein..nahi...nahi...poori duniya mein pehli baar kisi ne ...pehli rasoi mein black coffee banayi h
Coffee spill out of Akshat's mouth
Akshat: what...Guddan tumne sach mein sabke liye Black coffee banayi h
Guddan(innocently): haan ab Parv ne mujh se bola tumhe jo banana aata h....ab mujhe toh yahi banana aata h...Sophia ne bas yahi banana sikhaya
Parv: ab yeh Sophia kaun h...
Akshat: chup kar tu...iss ghar mein kisi ko bhi coffee pasand nahi h
Guddan: lkin tumhe toh pasand h na...isiliye toh Sophia ne mujhe sirf wahi banana sikhaya...Parv Sophia meri caretaker ka naam h
Akshat: haan lkin sirf mujhe hi pasand h...baaki kisi ko nhi...lkin galti tumhari bhi nhi h...galti toh iss Parv ki h
Akshat holds Parv's collar
Akshat: kyun..jab maine tere ko mana kiya tha isse kuch banana nahi aata...toh apna dimaag chalane ki kya zaroorat thi
Parv: are tujhe mujhe marna h toh maar lena...lkin abhi ghar ki mahabharat ka kya karna h..
Guddan: mahabharat ...lkin hua kya
Parv: woh dono andar lad rhe h
Akshat is leaving
Parv: tu kahan jaa rha h
Akshat: office
Parv: Aur inka jhagda
Akshat: woh unka roz ka h...kab tak hum unke inn jhagadon ko sort out karayenge...unke saamne unka bada sa ego h jo ki thik nhi ho skta toh bas...unhe uljhe rehne do...aur mujhe lagta h tujhe police station jana chahiye...
and he leaves
Parv: baat toh sahi keh rha h...main bhi jata hu...
Guddan: lkin main kahan jau
Parv: apne sasuraal...matlab jab tak inki mahabharat chal rhi h tab tak tum jaakr apna ghar dekh kar aao...aur durga bhabhi se mil aao
Guddan: ok
Parv leaves
Guddan went to Akshat's house where Durga welcomes her
Durga: aao na...apna hi ghar samjho
Guddan(murmuring): mera hi toh ghar h
Durga: kuch kaha tumne
Guddan: aap sara din itne bade ghar mein akele rehti h
Durga: haan matlab ab toh aadat ho gayi h... pehle bhut bura lagta tha itna bada parivaar hokar bhi sab khaali...par ab aadat ho gayi h
Guddan: bhabhi...bura na mano toh ek baat puchu...jo papaji iss tareeke se...
Durga: asal mein chachaji ki aur chachiji ki love marriage huyi thi...unhone bina bataye shaadi kar li thi...aur papaji iske sakht khilaaf the kyunki unhe unki shaadi kisi achche khaandaani ghar mein karni thi...unhone unhe ghar se nikaal diya aur property se bhi...pehle dono bhaiyon mein bhut pyaar tha...lkin ab...
Kaash maa hoti...maa ne kabhi bhi chachi ko ya Parv ko alag nahi rehne diya infact Papaji ne koshish ki thi Akshat aur Parv ko alag karne ki lkin maa ne nhi hone diya...lkin jab Akshat 12 saal ka tha tab maa chali gayi...tab se chachi ne hi uska khayaal rakha h...ab toh sab kuch thik h aur iski toh humein roz ki aadat h...lkin ek baat aur h Akshat chachaji se zyada baat nhi karta kyunki woh unse naraz h...shaadi toh ho gayi lkin chachaji chachi ko poori tarah apna nhi paaye ..... unke pariwar ke tootne ki wajah woh chachi ko maante h isliyeGuddan: I hope ki sab pehle jaisa ho jaaye
Durga: woh toh tab hi ho sakta h jab koi toofan aaye aur papaji ki soch badal jaaye... mujhe kuch kaam h tum baitho main abhi aati hu
Guddan's vo
hmmm..toh toofaan aaye aur papaji ki soch badal jaaye...main hu na..toofaan jo papaji ko bhi badalegi aur unki iss soch ko bhi ...waise story badi interesting h ki nahi matlab chachu ne kiya toh ghar se nikaal diya... Akshat ka pata chala toh duniya se hi nikal denge...humare toh aage bhi yamraj aur peeche bhi yamraj...ab pyaar karke pachtaane se hoga kya kuch nhi...so just enjoy
![](https://img.wattpad.com/cover/194151753-288-k193804.jpg)