shot 4

2K 109 36
                                    

Karan was sitting on the bed he look at his phone broken.He threw it again on the floor and rested his head against the wall and close his eyes

Preeta:yehi tou problem hai k mujhe tum bhut ache lagte hoon.........sabse ache

Preeta:meri ane wali zindagi hai wo main kyu kharab kro

karan opens his drawer and takes out a picture of preeta in which she was blushing he tearfully smile

Karan:shayad isse pehle maine khabhi tumse nhi kaha hoo lekin tum jab sharmati hoo na bhut khoobsurat lagti hoon maine bhut lrkiyan dekhi hain lekin tumhare liye jo feel kiya hai wo khabhi kisi k liye nhi kiya you are the only one to me mujhe kuch smjh nhi araha hai preeta kya sach hai kya jhoot hai kon sahi hai kon galat hai kuch nh main bas itna janta hoon k tumne meri feelings hurt ki hai main tou iss khush fehmi mein tha k shayad tum bhi.....lekin main galat tha bhut galat main iss k liye tumhe khabhi maaf nh kr skta

At morning at arora house shristy come out of her room

Shristy:Good morning people

She notice everyone sad face

Shristy:maa nashta doo na aur aap log tayyar nhi hue

Sarla:kis liye

Shristy:arey court nhi jana aapko usska asli chehra dekhne

Sarla:mujhe kisi ka koi chehra nhi dekhna hamara unse ab koi taluq nhi hai mujhse hi galti hogyi k maine ameero par bharosa kiya pehle pragya ki shaadi ik bare ghar mein wahan wo aaj tak musibatein jhel rhi hai phir preeta ka luthra se rishta usse takleef de rha hai aur ab prithvi bhi meri hi galti hai jo maine jo in ameero k sath rishte jore

Sarla went from there shristy sighs saldly preeta comes out of the room with a purse in her hands

Shristy:di kaha jarhi hoo

Preeta:hospital jarhi hoon bhut dino se gyi nh hai tou kich files dekhni hai aur do din patient bhi mera liye aye hua hain call ayi thi mujhe main ake bat krti hoo bye(smiles)

She went out

Shristy(in mind):dard chupana koi meri dii se sikhe mujhe pata hai di apko shaadi na hone ka koi dukh nhi hai balke karan sir se bichadne ka dukh hai aap kal rat ko bol rhi thi na "main kyun nhi smjh payi"main jaanti hoo di k aap kis bat ko na smjhne ki bat kr rhi thi lekin ache logoo k sath hamesha acha hi hota hai aur zaroor hoga aaj uss prithvi ko zaroor saza mile gi aur shayad shrlyn ka sach bhi saamne aa jaye aur karan sir meri di se maafi mang le bhagwan ji ap hi ab kich kr skte hoo please ye sab aaj hi khatam krdo

At luthra house

Rishab was on call with virat

virat:inspector ne bataya hai k court ka time dopeher ko hai

Rishab:ok ok hum ajayage tujhe file mil gyi prithvi k case ki

Virat:dhoond rha hoo yar 5 saal puarani file hai andar kahin rkhi hogi tou jab tak ik kam kr apne office mein check kr aur hospital se medical report bhi le le karan aur sameer ki

Rishab:yeah right fine

He cuts the call

Shrlyn(in mind):wo case file tou

Rishab:karan sameer

Sameer/karan:han

Rishab:mera ik kam krdo main apne dost se raat ko hi bat krli thi tum log hospital chale jao wahan koi bhi docter tumhe wo file de dega

Karan:konsa hospital bhai

Rishab:city hospital

Karan stopped for a sec becuase he knows preeta works there

trust is everything ✔जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें