Shot 18❤

1.3K 97 235
                                    

Do vote for my story by pressing ⭐ and leave your feedbacks and suggestions. Happy Reading 😁😁
......................................................

Ranbir came out of his room, early morning, tired of all the mosquitoes.

Ranbir(cry baby face): Despacito.. Yahaan kitne mosquito huyito.. 😂

Preeta(from behind): Aaj breakfast mein hai papito.. Mera matlab papita 😂😂

Ranbir(shocked): Preeto? Umm.. Preeta? 😂😂😂... Kyun?

Preeta: Papita se dimaag tez hota hai.. Isiliye aaj se roz se papita khaayenge..

Ranbir: Mein nahi kha raha.. Mujhe nahi pasand

Preeta: 9 ghante maths karoge? 😂

Ranbir: Yeh Papita cheel ke khaana hai yeh aise hi? 😂😂

Rahul comes running from behind.

Rahul(happily): Pihu..

Preeta: Haan?

Rahul: Mein kal history textbook padh raha tha.. Yeh dekh Jethalal bhi tha.. Woh bhi Germany mein😂

Preeta: Kya? Jethalal? Dikha..

She takes the book from his hand and sees the picture.

Preeta(shouts): Gadhe.. Yeh Jethalal nahi Adolf Hitler hai😂😂

Everyone comes down.

Nupur: Kya hai? Kyun cheekh rahi hai?

Preeta: Kuch nahi.. Tum chalo.. Breakfast karo.. Aur fir padhne baithte hain..

Zoya: Yaar.. Nahi padhna yaar.. Faaltu fasa diya tune hume..

Preeta: Arre.. Tum sabko toh khush hona chahiye.. Ke ab ghar hain hamaare paas.. Pehle ke zamaane mein log footpath pe baith ke padhte the..

Ranbir: Pehle ke zamaane mein Salman khan chota tha.. Usko driving nahi aati thi 😂😂

Preeta narrowed her eyes.

Ranbir: Aur kyun padhe hum street light ke neeche? Zabardasti hai?

Rahul: Aur kya? Koi jaan-pehchaan ka mil jaata toh.. Arre.. Tum toh Khanna industries ke maalik ho na? Gareeb ho? Nahi.. Hum toh paagal hain 😂😂

Aditya: Humaare ghar 10 bulb hain.. 8 tubelight hain.. Par padhai hume.. Gattar ke baaju mein hi karni hai.. Naali hai na. Iski khushbu jaate hi dimaag khul jaata hai😂😂

Preeta(folding hands): Galti ho gayi mujhse maaf kardo.. Chalo..

Kritika: Aur pehle toh log.. Candle ke neeche padhte the.. Hume koi shauk nahi hai romantic tareeke se padhne ka😂😂

Preeta: Chup kar tu.. Pitegi ab.. Chalo breakfast kha lo.. Fir baithenge padhne..

They had their breakfast and sat studying.

Aditya(thinking): Priya is X aur Sakshi is Y.. (paused) Toh fir mein kaun hoon? 😂😂😂

Nupur(frustrated): Kaash elections ki tarah exam bhi 5 saal mein ek baar hote 😂😂

Preeta: Tab bhi tu ek hafte pehle hi padhti 😂

She sees Karan fiddling with the phone.

Preeta: Karan.. Phone baad mein dekhna.. Abhi padho..

Karan: Ji zaroor..

Karan(murmuring): Kya faayeda aise google ka jo yeh bhi na bata sake exam mein question kaunse aayenge.. Hatt😂😂😂

Ranbir: Kya faaltu sum hai yaar yeh.. A girl is looking up at the building.. Then she moved ahead and again looked at the building.. Calculate the angle.. Arre.. Woh highway pe khadi hai.. Truck usko uda degi.. Ambulance ko bulaata toh koi nahi yaar😂😂

Zoya: Woh sum end mein difficult hai.. Aadha karke chod dena.. Steps ke marks mil jaayenge..

Preeta: Tum log Dance India Dance mein aaye ho jo steps ke marks milenge? 😂😂

Kritika: Tum log dekhna.. Woh mujhe agar aise question denge jo mujhe pata nahi honge toh mein unko aise answer denge jo unhe pata nahi honge 😂

Preeta: Fir woh tujhe aise numbers mein marks denge jo tujhe pata nahi honge😂

Ranbir: Yaar bohot ho gaya.. Mein movie dekhne ja raha hoon..

Kritika: Popcorn lete aana.. 😂

Preeta: Mein dikhaati hoon na movie.. Kaunsi dekhoge? Exam ka khauf? Tadapta student? Shaitani books? Result waala din? Pyaasa examiner? Mere paas saari hain😂

Ranbir quietly sat back on his chair.

Ranbir: Woh thi na.. Dil toh sabke paas hota hai.. Par sab dilwaale nahi hote.. Haan dilwale dekhni hai..

Preeta: Books bhi sabke paas hoti hai.. Par sab padhne waale nahi hote.. Chup chaap padho😂

Kritika: Arre.. Pihu yaar ismein toh Ekta Kapoor ki photo hai😂

Preeta(solving): Tu Ramayan padh rahi hai.. Usmein shurpanakha hi hogi😂

Kritika: Arre haan.. Agar Ekta Kapoor Raavan ki behen hoti toh woh usse khud maar deta😂

Ranbir(murmuring): Tareekh gawa hai.. Pyaar tabhi hota hai jab exam paas aate hain.. 😂

He looks at Kritika and sighs in disbelief.

Zoya: Achha guys.. Vanshika yaad hai?

Everyone looks at Aditya and giggles.

Karan: Yeh Vanshika kaun hai?

Preeta: Adi ki girlfriend thi.. College mein.. Woh uske saath flirt karta tha bohot.

Karan: Toh tum sab hase kyun?

Preeta(laughs): Woh..

FLASHBACK

Aditya: Dil cheer ke dekh lo Vanshika.. Tumhe apna naam hi dikhega..

Vanshika: Okay😂

She picked up a knife and started running behind him. 😂

Vanshika: Arre.. Ruko na.. Mujhe apna naam dekhna hai😂

FLASHBACK ENDS

Preeta: Haan toh kya hua Vanshika ko?

Zoya: Woh angle of depression ke sums solve karte karte depression mein chali gayi 😂😂

Aditya(murmuring): Achha hua😂

Rahul: Yaar.. Woh toh depression mein chali gayi (picks up the book) Mein toh yeh RD sharma ki neeche dabke mar jaunga😂

Karan: Yaar.. Bas yaar.. Mein nahi padh raha.. Mein thak gaya.. Mein aata hoon

He gets up and leaves.

Preeta: Mein isse dekh ke aati hoon.. Tum log padho..

Preeta goes to his room to sees him standing at the window with an angry pout.

She goes and wraps her arms around his neck.

Preeta(huskily): Tum na.. 2 baar lips pe, do baar gaalon pe, 1 baar sar pe aur ek baar haath pe..

Karan(lost in her): Haath pe?

Preeta: Vaseline lagaya karo😂😂... Sardi ka mausam aa gaya hai.. Skin dry ho jaati hai😂

Karan angrily glares at her and then pins her to the wall. He leans towards her and the two share a soulful kiss.
............

Precap:

Romance.. (padhte time) 😂

@kritikaaaaaaaa Mujhe baksh de😭.. Next ismein romance pakka..

Love
Khushi ❤










Preeran FF :Tu ChahiyeWhere stories live. Discover now