Ehsaas....

569 15 1
                                    

Bina Safar Bina Manzil Ka.

Ek Raasta Hona Chahti Hoon.

Kahi Door Kisi Jungle Mein, Tera Dariya Hona Chahti Hoon.

Ek Zindagi Hona Chahti Hoon, Bina Rishtey Aur Riwaajo Ki.

Door Aasmaan Se Girte, Jharne Mein Kahin Khona Chahti Hoon.

Mein Aaj Mein (मैं....) Hona Chahti Hoon....
.
.
.
Khul kar aaj kuch esaash aapse kehna chahati hu...!!!
Kahani alag hai pr ehsaas ek se hoge... vada krti hu ehsaas ek se hoge....qki bhavnao ki paribhasha hi ek hai...agar mere bhavnaon se mil saake toh saath chal dena varna begairat mai wakt ko jaaya nah Krna....!!!
.
.
.
Toh shuru kartey hai...,,,!!!!
Vo kehta tha...

Kuch Has Ke Bol Diya Karo, Kuch Has Ke Taal Diya Karo.

Yun To Bahut Pareshan rehti ho.

Tum Bhi.

Magar Kuch Faisle Waqt Pe Daal Diya Karo.

Na Jaane Kal Koi Hasane Wala Mile Na Mile, Isiliye Aaj Hi Sari Hasrat Nikal Liya Karo....!!!
.
yakinan  aaj sab sach lagta hai...
Qki aaj ladayi khudse hai qki firse...
Aaj mein ush mod pr hu jaha khud ko talash rhi hu...
Andar ki tsunami ko himmat se sambhal rhi hu....!!!
.
Kuch emotions ko feel Krna galat nhi beshak insaan hai qutraat ne banaya hi ishliye ki har ehsaas ko jii paye samaj paaye...
Pr kya ye sach nhi inhe jeene is aadh mai qutrat k diye Rishtoon ko hi jeena bhul gaye hum...
Pr vo rishte bhi toh hume bhulana chahte hai...
Ek tarfa mohobbat kabhi puri nhi hue chahe ko Ishq Ho yaa qutrati khoon k rishte...
Shurvat sabki ek si thi...pyaar sabme ek sa tha...pr pta nhi q sab bikhar Gaya..
Aaj naa unn rishton ko sambhalne ki chah hai nah himmat...kr gaye koshishey ab tehrav  chahiye...in jabardasti k rishton se dur mukambal jaha chahiye....!!!!
.
Apno ne toh badi bekar haalat mai bataya ki hum aapke hai hi nhii chalo socha tha khoonn k rishtey hai inhi se toh nibhaani hai kya pta tha jaha sab chod inke liye jee rahe hai vaha ye hume hi baidh k tool rahe hai..?!!..

Jhoot bhi bolna padta hai Sach bhi chupana padta hai Zindagi jeene ke liye Har rasta apnana padta hai...,
....ye b janab ne sach hi kaha tha padh rahe science the pr phylosophy bohot khub jante the....aakhir unka honewala pesha hi dono ka misraan tha...!!!

Shareef logo ko jeene Kaha dete hai log Kabhi kabhi bura bhi Ban jana padta hai,
Yeh zindagi hai sahab Yaha dard chupa kar bhi Muskurana padta hai.
Apno ko chod baigairaato mai kinara dhundhna padhta hai...!!!

jindagee mein kabhee kabhee aisa mukaam aata hai. jahaan saaree shikaayaten khatm ho jaatee hai....

khud se bhee aur doosaron se bhee.. rah jaata hai to bas, ek thaharaav..!!

Bas ab ishi tehraav ki khoj hai...

Ye kahani  alag hai kaafi alag ishliye sambhal sambhal k tukdo mai bataugi...!!
Har ehsaas ko khul k jataugi...
Jeene ki chaah...
Aur marne ka daar...
Ab sabtoo me bahaugi....!!!!.
.
.
Agar jud saako toh batayega ek pyaari si kahani jo mere dil k kareeb hai sunana chahti hu...aapke man ko b pasand aayegi qki ye saare khayal usi ki den hai...lekin agar aap chahe...madat karoge nah...qki
Aaj mein..( मैं... ) Hona chahti hoon...❤️
.
.
If u r liking the story line do tell me in comment section ....!!!!
Eagerly waiting for ur response...
.
The story is completely conceptual... inspired by young generation and their blooming mindsets...

 मैं....जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें