Sochti thi zindagi ka matlab tha sirf andhera,
Is khudgarz duniya mein koi nahi tha mera,
Par jab tum se mili toh jaana kya hota hai savera,
Tumhare hi khayaalon mein rehti thi gum,
Meri zindagi ki wajah ban gaye the,
Sirf tum, sirf tum.Dil mein jo khalaa thi woh tum ne door kardi,
Is bejaan jism mein phir se jaan phunk di,
Meri duniya hi iss ehsaas ne palat di,
Haso, muskuraao kehte the har dum,
Meri zindagi ki wajah ban gaye the,
Sirf tum, sirf tum.Tum aaye ek farishte ki tarah,
Nahi pata tha chehre pe tumhare tha naqaab padha,
Dil ke saath khela aur jhat se isse tod diya,
Khushiyon ki subah aur dil ka dard bhi tum,
Ab tum hi bataao kya karein hum,
Kyunki zindagi ki wajah ban gaye ho,
Sirf tum, sirf tum.- K.S.Q.
आप पढ़ रहे हैं
Dil Ke Alfaaz : The Words of My Heart
PoetryHello everyone! This is not a story but a collection of poetry and shayari and quotes written by me in my diary. Most of them are in Hindi or Urdu with translation and few in English. If you like them please comment and vote. Also, keep in mind th...