Dekho dekho iss baar mai jaldi aa gayi! Ab no gussa ok! Chalo jaldi jaldi chapter pado.
Chapter 10
Duo were peacefully sleeping on their bed wrapped in their comfy sheets when ACP sir peeped from behind the door and after adoring his kiddos for a minute again closed the door and then moved out of the house locking the main door.
Quickly he drove to the Lakshmi Nagar police station and receiving the salutes with a nod directly walked up to the cabin of the inspector, incharge of the police station. The inspector rose to his respect and greeted him...Inspector - Good morning sir!
ACP - Good morning.
Inspector - Kya mangau sir? Chai ki coffee? Aur nashte mai kya lenge app?
ACP - Formalities ki zarurat nahi hai Prakash. Mai yaha personal kaam se aaya hu. Mujhe bas Daya ke bare mai jo bhi jante ho sab batao! Tumhi ne handle kiya tha uska case?
Prakash - Yes sir! Mujhe Insp. Ajit ne bataya tha ki apko uss bachche, Daya ke bare mai janna hai.
ACP - Hmm... Toh yeh case kya tha?
Prakash - Yeh ek murder case tha sir!
ACP - Starting se batao ki kya hua tha?
Prakash - Sir! Sir yeh kareeb 8 mahine pehle ka case hai. Ek din koi admi uss bachche, Daya ko police station leke aaya tha. Woh bol raha thi ki usse woh bachcha road pe baitha, rota hua mila tha. Jab usne pucha ki kon hai, kaha rehta hai, waha kya kar raha hai usne koi jawab nahi diya. Toh isilye woh usse yaha le aaya. Kafi raat ho gayi thi sir. 12:30 ke upar ho gaya hoga. Mai uss waqt police station mai tha toh case maine hi handle kiya tha. Mujhe yaad hai ki koshish toh humne bhi bohot ki thi par Daya kuch bolne ko tayar nahi tha. Bas roye jaa raha tha! Kaise bhi behla pushla kar humne usse shant kiya. Tab usne bataya ki uski maa ko kisi ne kuch kar diya hai. Iske aage woh kuch nahi janta tha. Humne usse uske ghar ka pata pucha toh usse woh bhi yaad nahi tha. Toh hum usse wapis wahi lekar gaye jaha woh uss admi ko mila tha. Kyuki waha se woh apne ghar ka rasta janta tha. Jab hum uske ghar pohache toh sir... Charo taraf saman bikhra pada tha. Khoon hi khoon tha! Andar jakar dekha toh kitchen mai uske maa ki dead body mili.
ACP sir closed his eyes in pain imagining how brutally Daya's mother would have been murdered. And how that little precious soul would have gone through it all! And was somewhere still going through it! But then brushing away his emotions he took a deep breath and asked...
ACP - Kisne mara tha unhe?
Prakash - Sir Daya ke baap ne!
ACP - What!?!
ACP sir looked at him in shock! Not because this was the first case of a murder of a wife by her husband... He had seen innumerable such cases himself but because he had never heard anything about Daya's father from Daya's mouth! Not even a mention of his existence!
ACP - Motive kya tha murder ka?
Prakash - Kuch dowry ka chakkar tha sir.
ACP - Exactly what?
Prakash - Sir woh humne jab case investigate kiya hume pata chala ki she was a single mother. A school teacher and a single mother! That was all about her! Woh actually jab 6 months pregnant thi she left her husband. Kyuki woh unhe dowry ke liye pareshan karta tha... Haat bhi uthata tha. When she was 6 months pregnant unke pati ne unhe sharab ke nashe mai bohot mara. Unhe sir pe bhi chot lagi and she had to be hospitalised. As she gained back her consciousness she never returned to her husband's place. Jitna pata chala tha, unhe ab apne bachche ki chinta thi... Uski life ki aur uske future ki! Woh waha se apne bhai ke ghar gayi. Wahi par rehne lagi aur she also filed for a divorce. Unka pati tayar nahi tha divorce dene ke liye isilye case khichta raha. But bachche ke birth ke baad unhone apne bhai ke ghar ko bhi chod diya. Jaha tak sunne mai aaya hai it was because her brother was getting married and the society that we live in... Woh apne bhai ki life mai problems create nahi karna chahti thi. Her brother arranged a house for her to live and uske baad bas woh aur unka bachcha. Unhone ek school mai teacher ki job bhi ki. Taki Daya ko kabhi kisi chiz ki kami na pade. Lekin her happiness was short lived. Woh sharabi unhe phir pareshan karne laga. But jaise taise woh usse ignore kar ke apni life shanti se jee rahi thi. Par phir pata nahi kya hua 5 saal baad, matlab abhi se 8 mahine pehle woh achanak unke ghar aaya aur unse paise mangne laga. Woh chahta tha ki yaa toh woh usse dowry ke paise dede toh woh unhe divorce dedega... Not to forget uski dowry ki demand ki koi limit nahi thi! Yaa phir uske saath woh wapis chali jaye. Woh mani nahi! Aur gusse mai woh hata payi pe utar aaya. Daya jo ki uss waqt apne kamre mai tha... Usne yeh sab suna aur jaise hi usne dekha ki koi uski maa ko maar raha hai woh help mangne bahar nikal gaya, piche ke darwaze se. Raat kafi thi. Usse koi mila nahi help ke liye. Aur jab mila toh woh kudh hi itna dar gaya tha ki kuch bolne ki halat mai nahi tha. Aur hum jab waha pochche toh pehle hi der ho chuki thi. (after a deep silence) Mujhe ab bhi yaad hai sir. Jab humne usse samjhane ki koshish ki toh woh manne ko tayar hi nahi tha ki ab uski maa wapis nahi aayegi! Ghar jakar woh bas apni maa ko hi dhundta raha. Uski woh aakhe mujhe ajj bhi yaad hai sir... Mujhe yaad dilati hai ki shayad mai waqt par pohach gaya hota toh uski maa zinda hoti! Aur woh anath nahi hota!