Naina ki kahaani

684 44 30
                                    

Baali umar ki ek ladki,
Dil mein jiske umang bhari
Aankhon mein jiske sapne saje,
Jeena tha jise,
Ek anokhi zindagi

School ki topper,
Ab college pahunchi
Aankhon dekhe sapne
Poore hote dikhayi pade
Dost bane,
Zindagi bani,
Padhaku thi par party ki jaan bhi bani
Sidhi si thi ,
Expectations zyada na the
Bas kami thi toh bas ek pyaar ki
Jo uske aate hi poori hui
Zindagi badli,
Sidhi sadhi ladki jhalli bani
padaku banna toh nahi choda usne
Par uske sang woh ek nayi Naina bani

Sab kuch accha tha chal raha,
par unka saath kismat ne na diya
Behen bhaag gayi jeene apni zindagi
Bachane parivaar ki izzat , Naina ne apna pyaar kurbaan kiya.

Chod diya Sameer ka saath,
Bandh gayi Sharad ke saath
Le liye saath(7)phere par dil tha bhari,
Apne pyaar ko na paa payi abhagi thi yeh naari

Raat ko thi suhaag raat,
Par kaise khudko saupti pati ke haath
Jab dil mein pyaar kisi aur ka tha
Apne daaman ko choone ka haq bhi bas usko tha.
Maangi mohalat Sharad se,
Taiyaar na thi voh
Uske use choone se

Par jallaad na maana
Uski binti,
Hawas jo poori karni thi,
Aur maila kiya,
Naina ka daaman,
Bina uske marzi ki
Voh cheekhti rahi,
Chillati rahi
Par voh na ruka.
Aasoon behte gaye,
Hooth gidgidate gaye,
Par us jallaad ke dil mein na daya jagi.

Bhor hui ,
Par sooraj ki roshni na us tak pahuncha
Maila hua tha daman uska,
Andhakar hi tha chaya hua

Behte paani ke neeche,
Voh aasoon bahati rahi
Zor zor se apne shareer se,
Uske sparsh ko mitane lagi
Mit gaya sparsh uska,
Par man se uski ehsaas na miti
Kismat ne cheena pyaar uska
Ab bachi uski izzat bhi luti.

Har din, do saal tak
Zindagi uski narak hi thi
Din ko taane,
Raat ko zabardasti,
Poori tarah voh thi mar chuki.

Zindagi jeene ko jee rahi,
Ek zinda laash ki tarah bhatakti hui,
Sapne saare bhikar chuke the,
Dil mein umang kahi dab gayi

Hoton se hasi jaise gum gayi,
Chehre ka rang utar gaya
Us jallaad ke atyachaaron se,
Naina ka dum ghut raha.

Kismat ki jaise aankhein khuli,
Chacha-chachi ghar padhare
Dekhke uski sookhi hasi,
Ghar use le jaana chahe

Sharad ke dar se,
Laakh Naina ne mana kiya,
par chacha-chachi na mane
Aur Sharad ko use jaane dena pada

Le gaye voh ghar use,
Par bol na payi jo uske saath hua
Acchi zindagi ki ummeed kab ki mar gayi,
Bejaan sa ek jaan pada raha

Chacha-chachi jhel na paye uska haal,
Doston ke sang bhejne ka socha
Kyunki vahi the jo usse baat kar sakte,
Shayad dukh ka bhaar kam ho jaye

Chali gayi sang Preeti ,Naina
Dil dar se ghabra raha
Kaise karegi saamna Sameer ka
Dil uska usne toda Jo tha

Pahunche Goa,
Mile Swamundit se,
Par Sameer na kahi dikh raha
Bechain, tarsi uski aankhein
Bas usi ko tha talaash raha
Samjha Naina ka haal Preeti ne
Sameer ka bikhra haal bata diya
Aankhein bhar aayi uski
Sameer ka dard na saha gaya

Apne saath hue atyachaaron ka,
Naina ne Preeti ke saamne khulasa Kiya
Khaul gaya khoon uska,
Apne dost ki haalat na saha Gaya

Bola usne lad khudke liye,
Divorce le le us jallaad se
Aur saza dila de use.
Par parivaar ki izzat ke khaatir,
Naina ne usko mana kiya

Shaam ko jab mulaqat hui,
Aankhon mein uske nami jo thi,
Naina ka toota hua dil ,aur bikhar gaya
Par Sameer ko voh saantvana na de saka

Do saal ka gussa aur dard,
Nikala usne Naina pe
Selfish aur dhokebaaz hone ka,
ilzaam uspe laga diya

Sehen kar gayi jo,
Sharad ke saare zulm
Seh na paayi magar,
Sameer ki aankhon mein nafrat
Baandh diye apne saamaan,
Ghar jaane ko bhaagne lagi
Raat ki train ke liye,
Station pe woh baith gayi

Jab maaloom Naina ki haalat ka,
Sameer ko Preeti se hua
Bhaagta bhaagta station pe,
baithi Naina ke paas chala gaya

Khadi hui voh dekhke usko
aankhon se aason the beh rahe
Kheech ke apni taraf,
Sameer ne usko baahon me le liye

Roye dono jee bharke,
Ek duje ki baahon mein
Judaai, dard ke dabe hue jazbaat,
Bahar le aaye aasuon mein

Pahunche flat mein,
Sab so gaye
Par Sameer ke man mein,
Naina ko theek karne ke khayal hi the.

Subah subah lekar sabko,
Sameer long drive pe chal pada
Shopping, movie, khaana , enjoyment
Uski lambi list mein tha

Poore din masti mein beeti
Naina jaise sadiyon baad hasi
Dekhke uska khila chehra
Sameer ke Dil ko thandak mili

Raat ko donon chat pe gaye,
Puraani yaadein taza hui
Andhere aasmaan mein phaile sitaron ko
Dono ki aankhein thi dekh rahi.

Bola Sameer Naina se,
Jeene ka haq hain tujhe
Lad khudke liye
Kyunki parivaar ki izzat na hain bada
Tere saath hue atyachaaron se

Dil mein uske ummeed bhari
Chal padi papa ke ghar
Lene phaisla apni zindagi ki

Papa ke ghar pahunchi,
Dost sab saath hi the
Khaana khane baithe sab
Baad mein phaisla sunane ko taiyaar the

Baji ghanti, khoola darwaaza jab papa ne
Chehre se hasi gayab hui, jab pata laga darwaaze pe Sharad tha khade
Dekhke Sharad ko, Sameer ka para chad gaya
Par sambhala khudko usne yeh kehkar
Aaj Naina ko hi apne liye ladna tha

Himmat jutakar boli Naina
Sharad ne uske saath jo jo kiya
Par reh gayi dang jab uske maa-baap ne
Saath uska nahi diya

Boli maa shaadi hui hain
Yeh sab baatein chalti hain
Parivaar tu shuru karle
Sab kuch sahi ho jayegi

Boli Naina nahi hain rehna
Sang is jallaad ke ek pal ke liye bhi
Samaaj mein aapki izzat ke liye
Nahi karungi ab main samjhauta

Aaya gussa Sharad ko,
Bola meri izzat to rakh
Sab ke saamne kam se kam.

Boli Naina teri kya izzat
Jo har raat biwi ki izzat loot raha
Kaisa mard hain tu
Jiska ghamand tu dikha raha,
Jab himmat nahi tujhme
Usse bachane ki jo din mein mujhe ched raha

Aagbaboola Sharad ne kheencha
Naina ko apne sang ,
Chudaayi haath, maara thapppad
Sharad ke chehre ke ud gaye rang.

Badha uski taraf
Maarne use thappad
Par beech mein Sameer khada hua
Dekh ke usko Sharad ne
Naina ke sar pe bewafai ka ilzaam mada
Aur sawaal uthaya uski parvarish par

Bola Rakesh dekha hume teri vajah se kya sunna pad gaya
Boli Naina kaash aapko samjha paati ki aapki vajah se mujhe kya jhelna pad gaya

Chal diye sab log
Kuch waqt baad divorce hua
Naina Sameer hue ek
Zindagi phir se accha hua

Ab Naina hain kaamyaab lekhika
Sameer mashoor kalakaar hain ban gaya
Bacche aur dost hain parivaar unke
Zindagi ek boj ab na lag raha

Likhi apni zindagi ki kahaani
Uski kitaab bani mashoor
Boli Naina sabse
Marital Rape ke khilaf aawaz uthao
Mat ise saho
Kyunki nahi hain haq kisi ko
Ek aurat ki marzi ke bina use choona ka!

Naina Ki Kahaani  ( Poem Story) ✓Where stories live. Discover now