Kyun aaj dil itna dhadkne lagi hai..
Na jaane kiske intzaar mein palken bichhaye bethi hai....Kyun aaj yeh khamoshiyaan bhi gungunane lagi hai..
Dil mein bhi ek halchal si hone lagi hai...Kyun aaj inn aankhon mein ek alag si chamak hai...
Bhid mein yeh kisiko bekarari se talaash ne lagi hai....Kyun yeh payal aaj hawa ke sath naachne lagi hai...
Chalate chalate paun rukne lagi hai....Kyun aaj chand ko dekh dil ko sukun mili hai...
Dil mein ek dhun si bajne lagi hai..Kyun aaj bina kisi baat ke bhi chehera khilne lagi hai..
Khamoshi bhi iss dil ko khusi dene lagi hai...Kyun aaj yeh hawayein mehki si hai..
Kiski Khushboo hawa mein bikhri si hai..Kiske intzaar mein dil tadap ne lagi hai..
Kiske liye duaayen iss hotho pe ane lagi hai.....
Kya yeh kisi khass ke ane ka aahat hai...
Yah meri Khayalo ne mujhe pagal bana diya hai...
YOU ARE READING
Maan ki baat
PoetryNo one can understand you better...except pen and paper.... It's the best way to show your emotions...I know I'm not that good in it.. But it's my true emotions. I never had thought that I can write.. Ha ha.. Thank you.