The next two days went smoothly and they spent quality time with each other and had a blast.
Third day, Sid wakes up before sana and just keeps staring at her adorable face.
Sid pov- kitni sundar lagti hai ye aise shanti se sote hue, par agar galti se bhi hurt kardo toh baap re baap sherawali maata jag jati hai. I love her so much, pata nahi kitne ache karm kiye honge maine jo ye mili mujhe ❤️
Sana wakes up after feeling his intense gaze.
Sana- good morning bebu, aisa kyu dekh raha hai
Sid- good morning babyyy, tu hai hi itni pyari kya karu nazar hi nahi hat ti tere se
Sana- subah subah itna pyar, kya baat hai shukla ji
Sid- mujhe toh hamesha hi pyar aata hai tujhpe
Sana- acha aisi baat hai
Sid-ha
Sid moves forward to kiss her but sana objects by putting her hand on her lips
Sid- kya hai yarr
Sana- sid mat karna, abhi humne brush bhi nahi kiya
Sid- toh kya hua,mujhe koi fark nahi padta mujhe meri kiss chahiye
Sana-bebu pehle brush karte hai fir kiss pakka
Sid- nahi abhi chahiye mujhe
Sid finally kisses her and she gives into the temptation 🤷🏻♀️ they kiss till they feel lack of oxygen
Sid- ab hui na meri good morning
Sana- ganda bacha, ab pare ho brush karne de mujhe
Sid- chal ja
Sana and sid get fresh, take bath and have breakfast along with her daily shenanigans. Now its 1oclock sid gets a call from his manager to remind him of the meeting he and sana had scheduled for today with the editor for their channel. Sid after taking with his manager goes to sana to inform her about the same.
Sid- sana, chal taiyar hoja hume jaana hai na editor se milne fir mummy ke ghar bhi jaana hai lunch pe kal bola tha na unhone
Sana- areyy ha, par me nahi aa sakti
Sid- kyu?
Sana- umm vo mujhe na shefali bagga k saath bahar jaana hai koi zarori kam hai use
Sid- tune mujhe pehle kyu nahi bataya aur tune itne dino me baat bhi nahi ki usse toh achanak aisa kya kam hai?
Sana- aree vo mera aur uska music video ka set paas me hi tha na toh vo aati jaati rehti thi tab baate hoti thi hamari aur aaj koi problem ho gayi hai shayad isiliye urgently bulaya tha usne din me
Sid- *still not completely convinced* hmm thik hai chali jaana par location send karna mujhe aur dhyan rakhna, tujhe pickup me kar dunga
Sana- *panicked* arey nahi nahi mujhe shefali hi drop kar degi usne kaha tha, use mera flat bhi dikhana hai
Sid- sana tu ajeeb behave kyu kar rahi hai kuch hua kya
Sana- areyy nahi baba kya hoga mujhe
Sid- chal thik hai par location pakka bhejnaa and time to time update deti rehna
Sana- Okay baba de dungi
Sid - fine, me ready hone ja raha hu and then I'll leave
Sid gets ready and is about to leave
Sana- umm vese bebu tu aayega kab tak?
Sid- pata nahi, kyu?
Sana- aise hi pucha, andazan bata de na kab tak aayega
Sid- umm 2-3 ghante me
Sana- ok chal bye love you, dhyan rakhna
Sid- ha tu bhi, love you too baby
He leaves
Sana pov
Haye ram isse jhooth bolna kitna mushkil hai, cid me kam karna chaiye isse kaisi investigation karta hai baap re baap 🤦🏻♀️ par sana tune bhi acha natak kiya wah wah proud of you *pats her own back* par agar usne shefali se call karke puch liya toh fuck ab kya karu......areee ha uske paas toh number hi nahi hai uska thank god. Abhi me mummy (sid mom) ko call karke sorry bol deti hu ki nahi aa paungi.Sana calls Sid's mom
Sm- hello bache, kaise ho? Kab tak aa rahe ho?
Sana- hi mumma, vo yehi batane k liye call kiya tha ki sid aa jayega par me nahi aa paungi, sorry
Sm- kyu, kya hua tujhe? Lad liye kya fir tum?
Sana- are nahi nahi, vo meri ek dost hai uske ghar me kuch problem ho gayi hai isiliye urgently usse milne jaana hai
Sm- ok acha koi ni, par aaj maine sab teri pasand ka punjabi khana banaya tha sana
Sana- sorry mumma me agli baar pakka aungi promise
Sm- chal thik hai dhyan rakhna apna rakhti hu
Sana- bye aap bhi dhyan rakhna
Sana pov
Haye kya kya karna pad raha hai mujhe, pehle sid se itna jhootha aur ab maa se bhi. Chal koi ni sana chalta hai bas this is only a one time thing, sid ek baar hurt hoga par fir use samajhna hoga ki maine ye kyu kiya, par agar vo nahi samjha toh, jo me kar rahi hu vo hai toh thoda galat par koi na me mana lungi use. Me jo bhi kar rahi hu hamare liye aur hamare fans ke liye hi toh kar rahi hu vo samajh hi jayega. Chalo ab me taiyari shuru karti hu......
What is sana upto?Why will sid get hurt because of it?
Will this affect their relationship?
Hey guys, hope y'all are safe.
Your suggestions are always welcomed. What are your guess regarding Sana's strange behaviour?Vote target for next update -
45+votes 1 update tomorrow
70+ votes 2 update tomorrow
Do comment as it motivates me to write.Thanks for reading
Love love

YOU ARE READING
Bewitching Chaos
FanfictionSidnaaz. This story is an emotional roller coaster along with their every growing love 💓 they start a YouTube channel temporarily and with that comes lot of speed breaks for their relationship pls read forward to see how they cope with this ❤️❤️❤️ ...