Hey guys I am back with my new update and I hope that you all are fine
I hope that you all will like it
So let's get started
AFTER 6 MONTHS
IN CID BEAUREAU
PANKAJ: Freddy sir sab log kitne shant ho gaye hai na us ghatna ke bad
FREDDY: Ha Pankaj sahi kaha tune sab se jyada to Ankur sir aur Ishita sabse jyada chup chap ho gaye hai aur ab to Abhijeet sir aur Daya sir bhi masti majak ni karte
PANKAJ: Ha sir sahi kaha apne
On the other side
ISHITA: Ankur sir ap lunch karne ni jayenge?
ANKUR: Ni tum log jao mera man ni hai meine aj subah breakfast heavy kar lia tha
ISHITA: Achha thik hai mein bakio ko bol deti hu ki lunch ke lia chale jae
ANKUR: Kyu tumhe lunch ni karna?
ISHITA: Ni mera bhook ni hai
Ankur shighed
ANKUR: Achha bakio ko bhi bol do aur tum bhi cafe jao mein ye bas samit ke ata hu
ISHITA (smiles): Thik hai
And she told everyone to move to cafeteria and she also moved from there
AT CAFETERIA
Ishita was quietly sitting alone when Dushyant came there
DUSHYANT: Kya hua Ishita?
ISHITA: Kya bat hai aj mujhse khud the great Dushyant sir age se ake bat kar rahe hai
DUSHYANT: Aisa kuch ni hai tum akeli aise baithi thi to pucha
ISHITA: Thank you sir puchne ke lia aisa koi bat ni hai bas yuhi baithi thi
DUSHYANT: Achha
ISHITA: Sirr beaureau wapas chale ACP sir ne sabko jaldi jane ko bola hai kuch announcement karna hai unhe
DUSHYANT: Ha chalo
INSIDE BEAUREAU
All gathered
ACP sir: To suno sab log hume 2 weeks ke lia goa jana hai waha ke police ko ek case mein mumbai CID ki help chahiye to hum kal niklenge
ABHIJEET: Okay sir
ACP sir: To kal hum log dopeher ko niklenge 3 bje ki flight hai to sab log yaha 12 bje ajana hum sab log sath mein niklenge aur aj kyuki koi case report ni hua hai to sab log jaldi kam khatam karke ja sakte ho
All: Yess sir
All dispersed
NEXT DAY
IN CID BEAUREAU
ACP sir: Sab log a gaye?
RAJAT: Ha sir sab log a gye hai
Acp sir: To chalo sab abhi nikalte hai late ho raha hoga
After reaching Goa airport
ACP sir: Aj hum log hotel jake rest karenge fir kal jayenge police station
FREDDY: Okay thik hai sir
NEXT DAY
AT POLICE STATION
Commissioner: Helo ACP sir
ACP sir: Hello bataiye kaunsa cse ke bare mein bat karni thi?
Commissioner: Takriban che mahine pehle CID Mumbai ke pas ek case aya tha jismein Harshit nam ka mujrim pakra gaya tha right?
After listening to this everyone's face expression changed
But ACP sir managed to say
Ha aya tha humne Harshit ko pakra bhi tha
Commissioner: Ha usi case ko lekar bat karni thi hume us case ke silsile mein kuch information mili thi ki wo yaha Goa se linked hai isiliye ap logo ko bulaya hai
ACP sir: Ha boliye kya mila?
Commissioner: Hamara ek undercover officer is gang mein pichle 5 mahino se is gang mein shamil hai ussi ke pas sare information hai
ACP sir: Achha to ab kya hum usse mil sakte hai?
Commissioner: Ha wo kal rat ko 24*7 bar mein milegi wo wahi jab information dena hota hai to wo wahi deti hai aur usne khud kha hai ki ap logo inform kia jae kyuki ap logo ne pehle ye case handel kar chuke hai
ACP sir: Sure mein kal apne do officers ko waha bhejunga
Commissioner: Okay ek bat kahu
ACP sir: Ha boliye na
Commissioner: Ho sake to is case ko dimag se sochiye ga aur isse jure logo ke majburi ko samajh na ap log
ACP sir: Matlab?
Commissioner: Kuch ni bas ye yad rakhna
ACP sir: Okay thank you ab hum chalte hai
AT NIGHT
AT SOME UNKNOWN PLACE
A person was talking over phone
Ha a gaye wo log
Other side: Ha a gaye hai kal wo tumse milenge
Caller: Achha thik hai kal kuch information unke hato bhijwa dungi
Other side: Thik hai apna khayal rakhna aur apne ap ko samhal na sab thik hoga ekdin
Caller: Ho bhi sakta hai ya nahi bhi(sighing) ab meine ummeed chor diya hai jo hoga dekha jayega aur waise bhi wo log dekhenge to pehchan bhi payenge mujhe... Rakhti hu jyada der tak bat karna sahi ni hai
And cuts the call
The person: Huh umeed ab kuch ni bacha shayad hi kabhi mafi mile ni milegi to sab se dur chali jaungi waise bhi mar hi gayi hu sabke lie mein
To kaisi lagi apko ye chapter
Kon hai wo anjaan larki jo in sabko help kar rahi hai?
Any guesses??
Ab age kya hoga
Mein jald hi iska next part laungi
Tab tak ke liye
Bye take care
Stay safe
Stay healthy
:)
YOU ARE READING
Relation- Its about not only getting a relation but also maintaining it
FanficYe ek aisi story hai jaha apne family se bichrke ek larki kaise apni pehchan banake wapas ati hai