Taarufi Taqreer
Mera mann karta hai aaj mai apne lab bheech lu. Mere dil me behne wale jazbaat ab tumse na baatu. Mere zakhmo ka aylaan tumhare saamne na karu. Kyunki tumse kehke mai toh tumhe saunp deti hu ke tum unn zakhmo pe marham lagaoge aur unhe bharjane tak unka khayal karoge. Mere dard mai tumhe bata kar phir kabhi nahi jatati ke mai ab bhi dard me hu. Takleef me bhi muskurati rehti hu. Par tum samajh nahi paate. Ye muskurahat toh ek naqab hai jinse mai apne ghao ka parda karti hu. Taki inhe koi na dekh sake. Taki ye mehfooz rahe mere sath, mere paas, chupe hue. Sirf tumhe inki zubaan samjhana chahti hu. Mere zakhm b ab tumhari zubaan bolne ki koshish karte hain. Par tum samajh hi nahi paate. Ye zakhm kitna chubhte hain mujhe ; kitni takleef dete hain.
Par maine faisla karliya hai. Ab inka parda dunya ki har shay se hoga. Har insaan se. Inka tahaffuz sirf meri zimmedari hai. Koi aur inhe naa lesakta hai aur naa hi koi inhe lena chahega. Ye toh mere zimme hain. Humesha se the. Isiliye toh inhe mujhe saunpa gaya! Toh mai tumpar ye bojh kyun thopu? Aakhir me aziyat toh sirf usey hoti hai jisne apne dard ko raaz na rakha ho; Jisne inhe zahir kardiya ho. Humari zindagi ke gham raaz hi toh hote haina?
YOU ARE READING
Naqaabposh Haqeeqat
SpiritualNaqabposh haqeeqat kya hai? Asal me ye ek Ayina hai jo aapko zindagi ki esi haqeeqato se wabasta karayega jis se aapko lagta ho ki aap kabhi nikal nahi paoge! Ye kahani aapko muajzon par yakeen rakhne wala aur Khuda ke humpar kiye ehsanaat ka ehsaas...