Three

25 0 0
                                    

Bharosa. Aitbaar. Yaqeen.
Ye lafz insaano ke liye, par jazbaat sirf Rab ke liye hone chahiye. Insaan toh iss layak hi nahi ke ye jazbaat unpe zaya kiye jaayen. Mere Rab ne aaj tak mera yaqeen nahi toda. Chahe kitna hi ghair-yaqeeni maamla hi kyu na ho. Mere Allah ne humesha mere yaqeen ko pokhta kiya. Mujhe har mushkil qadam pe sahara diya aur esa muajazana nateeja diya jo meri qabilyat aur mehnat ke parey tha.
Phir bhi pata nahi kyun hum insaan itne ehem jazbey insano par kyu zaya kardete hain? Ye ehsaasat to sirf uss paak hasti ke liye hona chahiye jisne hume izzat di dunya me aur humara naam kiya. Jab ke hum uss layak bhi na the.. aur jisne agar wo izzat humse li toh usme bhi humari dhero bhalai chupi thi. Jisne sab kuch humare fayde ke liye kiya. Aakhir Usey humse nafa lene ki zarurat hi kahan? Wo toh khud hi Al-Nafi hai.

Naqaabposh HaqeeqatWhere stories live. Discover now