Pata nahi ye ladki kya likhti rehti hai sara din.
Ya Rabb meri behen ko jaldi se thik kardijiye.
Asalah ek bohot achi aur zaheen ladki hai. Ek sadma usey iss qadar mayoos kardega kisi ne nahi socha tha. Mai wo din kabhi nahi bhool sakti jab meri behen ne jeene ki ummeed chordi. Usne khudke zehen me aylaan karliya ki vo kuch nahi karsakti, ki vo nakaamyaab hogi, ki wo kuch bhi karne ke layak nahi.
Asalah ko mera kamra bohot pasand tha isliye 3 saal pehle mai isi ke sath iske room me rehne aagayi. Asalah ke sath hue haadse ke baadse wo aksar nind me darjati hai isliye bhi mujhe uske paas rehne se sukoon milta hai. Maine 3 saal pehle hi sochliya jab tak meri behen thik nahi hojati tab tak mai apne kamre me nahi jaugi.
Kya hogaya Asala ke sath itna bura? Itna sadma kyu leliya usne? Shayad uske nazdeek ye kafi badi baat thi.
Asalah bilkul thik hai. Mere aur Yafi ke saamne toh bilkul hi thik rehti hai. Apne jism ka har hissa bilkul ek aam insaan ki tarah istemaal karti hai. Wo apne har kaam kar pati hai. Khana bhi bana leti hai. Humara bhai Yafi jab Qur'an shareef hifz kar raha tha toh uski hifz buddy bhi Asalah hi thi. Isi wajah se usko Yafi ke sath hi kaafi surah wa Ayaat yaad hogaye.
YOU ARE READING
Naqaabposh Haqeeqat
SpiritualNaqabposh haqeeqat kya hai? Asal me ye ek Ayina hai jo aapko zindagi ki esi haqeeqato se wabasta karayega jis se aapko lagta ho ki aap kabhi nikal nahi paoge! Ye kahani aapko muajzon par yakeen rakhne wala aur Khuda ke humpar kiye ehsanaat ka ehsaas...