Issi trah haste khelte befikri se din guzarte chale gaye or sara or taani ne B.A ke paper diye or ghr beth kr result ka wait krne lagi or chuttiyo ko enjoy krne lagi ..
Kabhi ghoomne ka plan ban jata to kbhi shopping or un behno ki jodi har jagah sath sath nazar aati .
Kuch dino se taani mehsoos kr rhi thi ki sara kuch chup chap hai or koi baat us se chupa rhi hai taani ne kafi poochne ki koshish ki lekin wo har baar hans kr taal deti or uski baat kahi or mod deti .. esa pehli baar hua tha ki sara usse kuch chupa rhi thi .. wrna to dono intehai zati raaz bhi ek dusre se share krti... kuch din to taani to ajeeb laga lekin phir use apna weham smjh kr mutmaeen ho gayi ...
Lekin ye taani ka weham nhi tha asal dimag to us waqt khrab hua jb raafii aunty sara ki ammi hath me mithai lekr un ke ghr aai or khushi khushi taani ki mummy ko mithai khilane lagi .. tani ki ammi ne badi herani or khushi ke sath un se is khushi ki wjah poochi to jwab me unhone jo bataya ..usse sun kr taani ko esa laga ke koi pahad us ke sar pr toot gaya ho hath me chai ka cup liye na jane kitne der gum sum bethi rhi usse kuch samajh nhi aa raha tha ki usse kia ho raha hai . Na jane kitne lamhe beet gaye ya sadiya guzar gayi . Mummy or aunti ek dusre me magn taani ke haal se be khabar apni baron me mashgool thi . Kaafi der baad taani ko jb hosh aaya or us ke dimag ne kaam krna shuru kia to usse situation samjh me aai lekin wo kisi bhi trah is pr yakeen krne to tyar na thi .Usne badi mushkil se apni tamaam himmat ko jama kia
Chai ka cup table pr rakha or nange pair hi bhagti hui kmre se bahir nikl gayi .
Pichhe se ammi usse awazain deti reh gayi lekin .. usse hosh hi kb tha .. wo to khud ko ek khwab ki si kaifiya me mehsos kr rhi thi or tamaam harkatein lashaori tor pr us se sarzad ho rhi thi ..Gali me nikl kr chand kadam chlne ke baad us ne sara ke ghr ka darwaza be akhtiyar pertna shuru kr dia
Sara ki choti bhn ne ghabra kr gate khola
Samne taani ajeeb si halat me khadi thi , nange pao , ankho me beyakeeni or dukh ki parchaiya jese kisi ek ishare pr us ki zindagi bn skti hai ya bigad skti hJese koi achanak hi us ki sari zindagi ki jama poonji cheen ke le ja raha ho ..
Wo yakeeni or beyakeeni ki kaifiyat me mubtala ho
Mayra darwaza khol kr samne khadi taani ki traf dekh rhi thi . Ke taani aaghe badi or dodti hui sidhi sara ke kamre me pahooch gayiSo this is 2nd part ..
Tell me guys what do you think about that ...
And taani and sara's bond ...

أنت تقرأ
Haqiqui dost
القصة القصيرةthe story is all about finding true friend ....a friend who never live u a friend who give u right path ....... but in different way ... this is short story so pls guys take a look Taani and sara is unbreakable bond they are one soul in two bodies...