Sara ke kamrea ma phoch gaeyi . Sara bed pr bethi ghutno me sir diye shyad ro rhi thi . Aahat sun kr see utha kar dekha to hisbtoka ,taani ajeeb si halat main uske samne maujood thi wo kafi der usi sarate haal se nimtane ki koshish kr rhi thi kiukinse andaza tha ki jo khbr wo itne dino se taani se chupati phir rhi hai achanak sun kr taani ka kya radamal hoga . Lekin us ki sari tyari dhari reh gayi or taani ko samne dekh kr wo khud pr kaabo na rakh saki aur us se gale mil kr phoot phoot kr ro di na taani ne kuch poocha aur na sara ne bataya na jane kitne deir dono isi tarah apni taqrir pr mutam kuti rhi .
Jab aansoo ka Toofan kuch thama aur wo sochne amajhne ke kabil hui to ek dusre se alag ho kr khamoshi se sar jhuka kr Beth gayi .aur hichkiyyo ki awaz kamre me ghoonj ne lagi kuch deir baad taani ki awaz ne khamoshi todi .
Ye sab kuch achanak ? Tumne mujh se koi chupaya mujhe to khud kuch din pahale pata chala taani mujhe pata chala ke ye faisla to tab hi ho gaya tha jb main bhut choti thi ab to us pr amal karne ka waqt aa gaya hai . bas ek mahine baad shaadi ho jayegi our mein tum se bhut door Chali jaogi ye keh kr sara ek baar phir rone lagi .. sara aesa to humne kabhi socha bhi nhi tha humne to humesha apne darmiyan fasloo ko shikast di ye ho khyal bhi na aaya tumne ehtijaj bhi na kiya aur chup chap sar jhuka diya tumne mera khyaal bhi na aya mera to soch soch kr abhi se dum ghut raha hai "
Kiya ehtijaj . Sab kuch kr ke dekh li bhoot had taal bhi ki lekin koi fayda nhi ammi abbu sab kuch mera bachpana samjh rahe hai unka khyal hai ke thde din me sab kuch theek ho jayega .
Phir kaafi deir tak dono gale shake krti rahi akhir kar thak haar kr taani ghr wapis aa gayi aur apne kamre me bnd ho gayi ek mahina kis tarah guzra kuch ka nahi dono ki halat buri ho rhi thi ghr wale samjha samjha kr thak gaye ki ye to ek din hona hi tha
Khuda khuda kr ke maiyo din bhi aa gaya taani subha se apne kire ma bnd thi aur dusri traf sara ne bhi taani ke bagair koi rasm na krne ki kasam khayi thi aunty ke bhut samjhane pe taani jab Sara ke ghr phoo hi to waha sab tyariya mukammalthi bs usi ka intezar ho raha tha uske phoochte hi maiyo ki rasm badi dhoom dhaam se ki gayi aur taani thodi dair baad hi wapis aa gyi issi tarah baak din bhi guzer gaye our sara rukhsat ho kr sasural chali gayi ek dusre shehar.
Ab taani akeli reh gayi uska to jesi sab kuch khtam ho gaya na khane ka josh rehta na apne khyal rahta uske ammi abbu bhut pareshan tha our dar the tha ke ye haal raha to khuda na khwasta unki beti bimar hi na ho jaye uske to our koi saheli bhi nhi thi jo uska dil behla jati bhut such samjhne ke baad taani ke validein ne useke liye ek faisla kiya.....This is 3rd part and second last part of this story ...
Hope u guys like and pls vote if u like ....
U can give suggestions also ... and sorry for some spellings this is not edited. ...

KAMU SEDANG MEMBACA
Haqiqui dost
Cerita Pendekthe story is all about finding true friend ....a friend who never live u a friend who give u right path ....... but in different way ... this is short story so pls guys take a look Taani and sara is unbreakable bond they are one soul in two bodies...