𝙿𝚊𝚛𝚝 38

365 81 23
                                    

Recap -
Munna:matlab aisa bhi toh hosakta hai ke letter anjali taak pohocha hi nahi?

Next part -

Rahul:yeh kya bol raha hai tu?aur anjali taak letter kyun nhi pohchega?

Munna:mera kehne ka matlab hai k letter anjali k paas pohoch neke pehle hi woh yaha se chale gaye honge...aisa bhi toh hosakta hai... Hai na?pundit?sameer?

Pundit:mujhe toh kuch samajh hi nahi araha hai bhai....

Rahul:yeh bhi toh hosakta.... Paar aab mein kya karu?

Pundit:tu aur kya kar sakta hai wait kar anjali k liye..... Bachpan se hi toh wahi karke araha hai...

Sameer:rahul dekh !jo hona tha woh hogaya paar iska matlab yeh toh nhi na ke tune koshish nhi kiya?tune toh koshis kiya tha anjali se apne dil ki baat kehne ka paar...agar tera pyar saacha hai toh anjali tujhe zaroor milegi chahe woh tujhse dur kahi saat samundar paar bhi kyun na chali jaye ....dekh mein pyar toh kabhi nhi kiya zindagi mein... issliye tera dard mein samjh nhi paraha hu paar tune aab jo karraha hai na woh bhi theek nhi hai ...

Pundit: ekdum solid kaha yaar tu...mein isko kaab se yahi samjhane ki koshis karraha tha

Sameer :rahul bahut hogaya aab yeh saab chod chal humare saath ...

Next day .....

Sameer:munna!pundit !tune rahul ko kahi dekha hai kya?

Munna:sorry bhai mein subha se bahut busy tha aj k programme k liye mujhe nhi pata

pundit:mein toh abhi abhi lunch khatam karke araha hoon aur tum dono toh jante hi ho khane ke waqt mujhe ek choti si chiz paar bhi dhayan nhi rehta aur insaan toh bahut dur ki baat hai...

Munna:sameer tu rahul ki cabin mein jake dekh

Sameer:mein abhi abhi uske cabin se araha hoon woh waha nhi hai..

pundit:paar baat kya hai ?tu usse kyun dhund raha hai?

Sameer apne pocket se ek envelope nikalta hai aur mundit ko dikhata hai

Pundit:yeh kya hai?

Munna:abee ponga dikh nhi raha envelope hai aur uske ander kya hosakta hai chitthiyo ke sivay

𝐀𝐧𝐣𝐚𝐚𝐧 𝐏𝐫𝐞𝐦 (𝑪𝒐𝒎𝒑𝒍𝒆𝒕𝒆𝒅)Where stories live. Discover now